Asslaam O Alikum dosto. Dosto mera ye review Meezan Bank par mabni ye, Meezan aik Islamic banking system hy jo aaj sy 18 saal pehly 2002 main operationalize huwa, iska head office Karachi main hy aur ye us waqt shuro huwa tha jab State bank ny Islamic banking k liye license issur kiya tha, iska founder Irfan siddiqui hy, aur iaky Pakistan main ab tak yani k 2020 main isky total 750 tak branches hain jo poory Pakistan main mukhtalif cities main located hain, jis main taqreban 11500 tak k employees bar sar e rozgar hain, isky baary main apko mazeed vatata chaloon k ye taqreban 35% ka share cover karta hy Islamic banking system ka jo aij buhat barra share hy akely main, main khud pichly aik saal sy use karta hoon Meezan bank, jis main mera pehla bank account ban gaya hy, aur zaati tour par muju buhat qcha experience raha hy, Meezan bank baqi banking sysyem ke tarah hat waqt failure ka bahana nahi banaty k abhi system main masla hy ya atm main masla hy, jab B gaya hoon aik achy experience k sath wapas huwa hoon, kaam time par hota hy, staff hamesha cooperative aur hard working nazar aya hy ab isky faidy aur nuqsanat ke taraf chalty hain k meezan bank faidy kya hain aur niqsanat baaqi banks k muqably main.
Faidy:
1) Meezan bank ka sab sy barra aur eham faida ye hy k Islamic banking system hy aur mulk k zyada tar Ulama isi bank ko use karty hain Q k ismain sood sy paqk accounts aur karoobar hota hy, isliye bandy ka zameer mutmayen hota k Bank Islami usoolo k mutabiq chalta hy.
2) doosta faida isla ye hy k aapka time kam lagta hy bank main Q k baqi banks k nisbat ismain rush kam hota hy, aur agar zyada ho B to management sahi tariqy sy hota hy.
3) Theesra iska fiada ye hy k ye aik safe and secure banking system hy ismain aapky account ko kabhi nuqsan nahi pounchta.
Nuqsanat:
Meezan aik islami bank hy iska norammly koi nuqsanat nahi jo permanent ho, haan agar aik waqt main system main koi masla ajaye to vo hal hony tak thora takleef hota hy baqi aisa koi masla nahi k aap bore ho jaye is banking system sy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим