Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Maira yeh review Bank Alfalah kay credit cards per mabni hai. Bank alfalah kay credit cards ki 3 main types hain jinhain classic, titanium aur platinum kaha jata hai. Credits cards ki mukhtalif types ka taaluq unn pay milnay waali credit limits aur facilities say hota hai. Bank alfalah kay credit cards ka system bohat excellent hai kiyu kay inn kay cards pay sirf credit limit he nahi aisya bohat say faiday mill rahey hotay hain jinn ka wesay milna mumkin nahi hai. Jaisay kay mukhtalif restaurants pay consessions, petroleum companies pay usage pay concessions aur iss kay saath saath online payments ki permissions hain.
Advantages
Bank alfalah kay credit cards say bohat he qeemti cheezain jaisay kay mehnagay mobiles, home appliances ya motorcycles waghaira 6 months, 9 months aur 12 months ki installments pay with zero interests pay lay saktay hain. Bank alfalah kay reward points ka system bohat excellent hai. Jiss mai card holders ko apany card ki limit ki usage pay reward points ki soorat mai refund bhi diya jata hai. Issi tarah credit bananay ka process bohat simple hai aur Corona aur lock downs kay bawajud bank alfalah ka credit card 10 working days mai bann jata hai. Bank alfalah ka credit card kisi bhi bank kay POS pay use ho sakta hai
Disadvantages
Bank alfalah kay credit ki over usage say bohat ziada charges pay kernay partay hain. Bank alfalah kay credit card ko cash advance ki soorat mai use kernay ki soorat mai fix charges aur phir uss pay mazeed taxes kay baad bohat aur daily 0.11 percent interest rates ki implementation kay baad bohat ziada problems hotay hain. Bill ki intime payment na ho sakey tou bhi bohat ziada charges hain. Credit card kay scam bhi aam hain aur customer ko pata he nahi chalta aur card use ho chuka hota hai. Credit card kay usage pay security call check bhi nahi hai jaisay city ya standard chartered bank card pay aik makhsus amount kay usage pay security call aati hai phir woh usage confirm hoti hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим