Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Mobile banking mai ab bohat jiddat agai hai. Aur mobile network companies ki taraf say ab mobile banking ki sahoolat mai waqt aur technology kay saath saath bohat advancement aa chuki hai. Aur mazeed sahooliaat aati jaa rahi hain. Mobilink Pakistan aik bohat bari Pakistani company hain jiss nay apany customers ko jazzcash ki soorat mai mobile banking ki sahoolat provide ki hui hai. Jazzcash ki mobile app aik bohat he achi aur excellent app hai jisay download ker kay android mobile say use kia jaa sakta hai aur uss kay liye jazz ki sim ka hona bhi zaruri nahi hai
Advantages
Jazzcash kay zariye bank account, jazzcash account aur cnic pay payments bhaiji aur receive ki jaa sakti hain. Jazzcash kay zariye abb freelancers payoneer say bhi payments direct receive ker saktay hain. Jazzcash pay skrill say bhi payments ki sahoolat mojud hai. Jazzcash say M tag ki payments aur bohat say schools ki fees bhi ab online pay ki jaa sakti hai. Jazzcash ki mobile app ki madad say yeh sarey kaam bohat he asaani say one touch mai ho jatey hain.
Disadvantages
Jazzcash ki app ka aik disadvantage tou yeh hai kay mobile network ya internet data ya wifi connection mojud na ho tou isay use kerna na mumkin ho jata hai. Jiss say saari sahoolat ki afadiat he khatam ho jaati hai. Jazzcash account kay hacking cases bohat ziada ho chukay hain iss ka Matlab jazzcash servers ki security ka strong na hona hai. Aur jazzcash kay accounts ka compromise hona company ki reputation pay question mark hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим