dear members yoon to ham har din yahan forum main kisi na kisi ki khidmaat ka bayan kartay hain laikin jub aaj ham is revew main Hazrat USMAN EGHANI ki baat kartay hain to hamain yeh pata chalta hay k unhone islam main sab say barrh kar aur sab say ziada khidmaat ki hain jub aik jung main HAZRAT MUHAMMAD PBUH nay ilaan farmaya k hamain jung k saazo samaan ki zarurat hay to us wakt hazrat USMANE GHANI nay aik 100 unth bama sazo samaan dainay k ailaan kia aur jub dubara phir yahi ailaan huva to aap nay phir 200 unth bama sazo samaan dainay ka ailaan farmaya laikin phir 3rd baar yahi ailaan huawa to aap nay 300 unth baama sazo samaan ka ailaan farmaya ,phir aik aur moukaa pay jub HAZRAT MUHAMMAD PBUH nay masjid nazbwi ki tameer ka ailaan farmaya to HAZRAT USMAN E GHANI nay 25000 dinar say wo zameen khareed kar islaam ki khidmat main paish kardi jisk baad ap saekaar nai yeh farmaya k HAZRAT USMAN E GHANI ka koi bhi amal aur koi bhi souda baikaar nai jayega jis say hamain yeh sabit hota hay k unhone bahut saray aisay aisay aur bhi kaam kiye jin say unki khidmaat sab say ziada hain aur unk khidmaat aik sabkta lay janay wali hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим