dear jub ham aik muslimaan hain to hamko is baray main bhi zaru achi soch say kaam laina chaye k ham pay aik din main 5 namaz farz hain jin k aehtimaam k lye hamain aik qari,imaam masjid ki sab say ziada zarurat hoty hay jisk liye agar ham farz namaaz ba jamaat ada kartay hain to hamara masjid main anay ka haq ada ho sakta hay jisk liye zaruri hay k ham aik aisay ilam waly imaam sahib ka intekhaab karain jo har aik namaz main time say ba jamaat namaz ki pabandi kary to hamko bhi us say seekhna chaye jo kuch wo hamko hamaray mazhab k baray main seekhata hay jisk liye uski khidmaat ko ham kabhi bhi nazar andaaz nai kar saktay hain wo is liye k ham jahan kahin bi hotay hain hamko wo sab say pehlay azaan day kar bulata hay k ao namaz ka time ho gaya hay to mairay khayal say aisay imaam sahib ki khidmaat sab say zaida afazal bhi hain aur hamko bhi unki khidmaat say bhar poor faida hasil kartay huway iska faida uthana chaye jis main hamari har aik namaz ki pabandi wakt pay hoty jaty hay aur ham is dunya main bhi kamyaab ho saktay hain aur sath sath hamari akhirat bhi sanwar sakty hay jisk liye zaruri hay k hamko unska sath daitay huway masjid main 5 time hazri daini chaye jis main hamari masjidain abaad hoty jayengi aur ham kamyaab ho jayengay jis main ham ko imaam sahib ka shukria bhi ada karna chaye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим