H4 timeframe chart per dekhne se yeh samajh aata hai ke GBP/USD currency pair ne pichle teen hafton se bearish rukh ki taraf wapas janay ki koshish shuru kar di hai. Is hafte ke market analysis ke mutabiq, yeh saaf hai ke price ab tak consistently downward trend mein hai aur 1.2671 ke price range tak neeche gir chuki hai. Pichle mahine mein, yeh pair bullish trend mein aagay barhnay mein nakam raha, lekin aakhri kuch dinon mein general trend bearish hi raha hai.
Is haalat ko dekhte hue yeh anuman lagaya jaa sakta hai ke aglay market trend mein girawat ka silsila jari reh sakta hai aur price aur neeche gir sakti hai. Seller army ab bhi price ko neeche press karne ki potential rakhti hai aur price 1.2650 ke range ko test kar sakti hai ya phir is se bhi neeche jaa sakti hai. Kal raat ka bearish movement lamba chalne ki umeed hai kyunki aaj bhi market mein consolidation phase jaari hai.
Aaj ke liye pair ki haalat zyada nahi badli hai. 1.2680 ki support ek key role play kar sakti hai. Agar yeh support break hoti hai, toh pair downward impulse ko 1.2570 tak le jaa sakti hai. Yahan, zahir hai ke ek rollback hoga aur phir se neeche 1.2447 tak jaane ki koshish karegi, lekin is hafte mein yeh hone ke chances kam hain. Agar yeh support break nahi hoti aur 1.2680 ke neeche consolidate nahi hoti, toh wapas 1.2750 ke resistance tak growth ho sakti hai. Lekin isko break karna zaroori hai taa ke doosra impulse 1.2860 tak form ho sake, jo ke upward trend ko restore kare 1.3065 tak. Lekin is hafte mein itni growth ke chances kam hain. Ho sakta hai ke 1.2860 ka breakthrough mil jaye agar 1.2750 ka resistance aaj break ho jata hai, lekin is hafte 1.300 ke upar jaane ki umeed nahi, maximum 1.2970 tak jaane ka chance hai, lekin wo bhi zyada strong nahi lagta.
Leave a comment: