Tajziya or paishan gohi great British pound vs us dollar February 4 2022.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tajziya or paishan gohi great British pound vs us dollar February 4 2022.
    Assalam u Alaikum Dosto, Bartaniya ka bank ki Jo meeting hui the us ka nateja maen unho nay 25 points rakhay hain,0.25 percent say la kar 0.5 percent tak.or in ki ya itefaqi Raye the.Uk mein din bad din dehari barh Rahi hai aur iskay natijay mein wo Sood ka nizam bahter kar rahay hain.or isi ko dakhtay dakhtay bartaniya ka sadar nazer dahani kar raha ha , Jo ka peacha markazi bank mein ho Chuka hai.

    Daily Chart:

    Dosto jysa ka dakha jaye Jo markazi bank Kay tajziya kay idaray hain un ka yakeen hai Kay united state ki labour ki report kamzore aye gi is bar.or non faram bi uska sath kami wazeh kary ga,iski buniyadi waja Omi crone virus hai jis manfi Tor per labour ki market ko asar andaz kia hai,albata yeh arzi hai,iskay sath apko yadhani karwa do berozgari 3.9 percent tak rahay gi,or aik ghantay ki ujrat 0.5 percent tak ho ge.Dosto dakha jaye US dollar zayada tar inharaf mein hai apni asal qeemat say or Jo Kay dubara say is nay mandi ki taraf janay ka rokh kar lia hai.
    Dosto jaysa kay markazi bank nay apnay rate barhaye Thay to gbp usd ko hum nay up trend mein dakha tha one day Kay chart mein or iskay sath sath gbp usd ka pair 200 din ki moving average Kay uper closed hua tha.abhi FIL Hal gbp usd ka pair downtrend mein trade kar Raha ha Jo Kay 1.3550 say lay kar 1.3520 tak tha.or iskay sath sath labour ki Jo report hai mayossi paida Karti hai to hum isko uptrend mein dakh saktay hain.jo kay 1.3625 ho sakta hai.or ager isko yeh pass kar lay to iski agli nishandahi 1.2700 ho ge.Arzi Tor per asal number iskay tab wazeh hon gay jab labour market or investors per inhasar karay ga.Dosto jaysa dakha jaye Jo buyors Kam par gaye Thay one day pay resistance zone pay 1.3599 or ichimoku cloud indicators nay haftawar chart mein 1.3625 ko cross kar dia hai.iska natijay mein Jo bulls ka maqsad tha wo kamyab ho gya hai.or Jo agli resistance hai wo 1.3704 hai.
    Or iski support level banti hai 1.3553 sa la kar -37 tak.jo ka haftawar or din ka medium trend banta hai.

    Click image for larger version

Name:	bousd.png
Views:	1
Size:	74.1 کلوبائٹ
ID:	12503026

اب آن لائن

Working...
X