Eurusd forum

No announcement yet.
`

Eurusd forum

Theme: Eur/usd
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #2956 Collapse

    Takniki tajziyah

    Euro/dollar ki jodi 1.2217 ki satah se ooper uthne me nakam rahi. Qimat ko muzahmat ka samna karna pada aur fir niche chala gaya. Tejarati chart se yah dekha ja sakta jai keh 1.2163 ki satah market participants ke liye kafi pur kashish sabit hui. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh qimat 1.2150 ke nishan ke ird-gird ke hadd tak pahunch jayegi, fir ooper ki taraf pullback karegi, aur ek nayi bulandi par pahunch jayegi.

    Descending channel ooper ki taraf tod diya gaya tha, jo ooper ki taraf qimat ke paltaw ka ishara karta hai. Agar qimat 1.2150 ki satah se niche aa jati hai to, euro/dollar ki jodi mumkena taur par niche ki taraf mud jayegi aur 1.1990 aur 1.1954 ki hadaf satah ki taraf badh jayegi.

    Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	171.4 کلوبائٹ
ID:	12340831

    Buniyadi tajziyah

    Zahir hai, European Union muaashi sargarmiyon me girawat jhel raha hai. Economic indicators balkeh manfi hain, halankeh skeptics economic calendar ki reports ko ahmiyat ka hamil nahin samajhte hain. Market ke kuch participants ko ab ECB ke economists ke bayanat, uanke waade aur muaashi takhmiyon par ab yaqin nahin hai.

    Jahan tak America ki bat hai, muaashi suratehal bhi ghair yaqini hai. Federal Reserve ke Chairman Jerome Powell ki taqreer sust thi, jabkeh market participants ko Americi maishat ke mustaqbil par dusre khayalat aur bayan bazi ki tawaqqo thi.

    Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	260.8 کلوبائٹ
ID:	12340832
       
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #2957 Collapse

      Assalam Aalikum!

      Aaj trading ke zyada mauqe maujud nahin hain. Rat ke waqt, 15 pips ki ek mukhtasar harkat thi. Kya European session me traders Asian tejarati auqat ke dauran hasil momentum ko develop karenge? Waise bhi, mere orders baut dur set hain, lehaza mujhe intezar karne ki zarurat hogi.

      Mai qaribtarin muzahmat ki satah par limit orders is maqsad ke sath muqarrar karunga keh test ke bad qimat 1.2115 tak gir jayegi. Filhal, mujhe koi aur mauqe nazar nahin aa rahe hain. Shayad, is tarah ki sust tejarat agle Budh aur agle hafte Fed ki meeting tak jari rahegi. Lehaza behtar hoga keh aane wale sessions se zyada tawaqqo na karen.

      Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	174.2 کلوبائٹ
ID:	12340846
         
      • #2958 Collapse

        EUR/USD, 2021

        Takniki nuqtah nazar se, suratehal nahin badli hai. Top par, 1.2205-1.2220 aur 1.2170-1.2190 ke do ilaqon ke zariye tashkil kardah ek mazbut ilaqa hai. Lehaza, jodi ke tezi ka daud 1.2220 tak mahdud hone ka imkan hai. Fir bhi, 1.2220 ke liye ek aur nuqtah nazar ke natije me 1.2240 aur 1.2260-80 ki satah tak ek mazbut intraday upward movement ho sakta hai. Is dauran, mujhe lagta hai keh qimat 1.2205 se ooper nahin badh payegi lekin 1.2130 aur 1.2080 ki taraf niche ja sakegi. Is scenario ko nafiz karne ke liye, qimat ko 1.2150 se niche todne aur fix karne ki zarurat hai.

        Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	131.1 کلوبائٹ
ID:	12340847

        Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	120.3 کلوبائٹ
ID:	12340848
           
        • #2959 Collapse

          EUR/USD, 2021

          Aaj ka macroeconomic calendar kisi bhi aham khabar se khali hai jo euro/dollar ki jodi ki harkiyat ko mutassir kar sakta hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh quotes 1.2094 aur 1.2117 ki satah ke darmiyan ek tang range me karobar karegi. Yah jodi filhal 1.2099 par Bollinger Bands ke darmiyan band ke niche karobar kar rahi hai. Filhal, MACD histogram sifar ke nishan se niche hain, lekin ooper ki taraf rujhan ki nishandahi karta hai. Mujhe lagta hai keh munafa kamane ka behtarin tariqa long positions kholna hai kiyunkeh mai tawaqqo karta hun keh qimat badhkar taqriban 1.2140 ho jayegi.

          Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	41.7 کلوبائٹ
ID:	12340857
             
          • #2960 Collapse

            EUR/USD, 2021

            Mai takniki tajziyah ki gahrai me nahin jaunga kiyunkeh euro/dollar ki jodi Fed ki meeting se pahle shayad hi koi mazbut movement kar sakegi. Jab yah report jari ki jayegi to, ham mumkena taur par dono simton me utaar-chadhaw dekhenge. Mai tawaqqo karta hun keh quotes jald hi ooper ki taraf pullback karegi. Tejarati chart se dekha ja sakta hai keh hadaf kafi zyada hai. Fir bhi, mujhe lagta hai keh qimat ke pas is satah ko hasil karne aur fir apne niche ki movement ko dubara shuru karne ka har mauqa maujud hai. Tawil muddat me, downtrend tarjih hai. Agar qimat 1.2250 ki satah ko todti hai to bearish scenario mansukh kar diya jayega.

            Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	20.3 کلوبائٹ
ID:	12340858
               
            • #2961 Collapse

              EUR/USD

              Assalam Aalikum!

              Takniki tajziyah


              Yah tejarati chart se dekh ja sakta hai keh, euro/dollar ki jodi ne ooper ki taraf pullback kiya hai, lekin abhi tak sideways movement develope nahin kiya hai jo trend line border par girne se pahle muntaqi hoga. 1.2130 - 1.2100 ka raqba flat ki hadd ke taur par kam krta hai. Imkan hai keh jodi 1.1990 ki satah tak gir jayegi, lekin yah shayad hi nichli values tak pahunch sakega.

              Tawaqqo hai keh quotes sara din sideways trading karte hue guzaregi. Imkan hai keh kal bikwali badhegi. Khair, mai tawaqqo karta hu keh American session tak euro kam az kam 1.1990 ki satah par karobar karega.

              Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	164.4 کلوبائٹ
ID:	12340871

              Buniyadi tajziyah

              ECB ke rahnumao ka dovish mood European Union ke mumalik me kamzor economic growth ki nishandahi karta hai, jabkeh America me, Fed ne apne imdadi programs me tabdili ka ailan kiya hai. Haqiqat me, Americi maishat haliya dinon me taraqqai kar rahi hai. Traders khabron aur sadar mumlekat ki tarreeron ke muntazar hain.

              Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	210.5 کلوبائٹ
ID:	12340872
                 
              • #2962 Collapse

                EUR/USD, 2021

                Fed me Americiyon ka aitemad musalsal gir raha hai.

                Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	239.3 کلوبائٹ
ID:	12340873

                Fed ki policy ko tezi se gumrahkun taur par dekha ja raha hai. Halankeh, markazi bank ke rahnuma khud is se pareshan nhin hain. Woh is bat par zor dete rahte hain keh inflation par maujudah aidad o shumar aarzi hain aur suratehal jald hi badal jayegi.

                Fed ne 10 trillion dollars (mukhtalif takhmiyon ke mutabiq 11 se 15 trillion tak) se zyada print kiya hai. Maherin ka khayal hai keh tawaqqp ki jati hai keh Fed apni monetary policy ko barqarar rakheg aur is raqam ko aalmi maishat me dalta rahega.

                Jab tajziyah kar Fed ke mansube se pahle sud ki sherahon me izafe ke bare me bat karte hain to, iska matlab agle sal ke aaghaz par hota hai. Is sal sherah me izafe ke koi aasar nahin hain. Ab sud ki sherah me izafe ka waqt nahin hai, kiyunkeh is se Treasury bonds par zyada yields hogi aur izafi $4 trillion ke liye Senate ki manzuri hasil karne ke Biden ke mansube me rukawat paida hogi.

                Takniki nuqtah nazar se, suratehal shayad hi tabdil hui hai. Bulls abhi bhi 1.2125 ki mazbut satah se ooper quotes badhane ki koshish kar rahe hain. Agar woh kamyab hote hain to, imkan hai keh euro/dollar ki jodi 1.2199 ki satah tak pahunchti hui aage badhegi. Dusri taraf, ummid hai keh qimat 1.2045 aur 1.1985 ki satah par niche ki taraf pullback karegi. Agar jodi in satahon se paltaw karti hai to, ek lambi ooper ki lahar ban sakti hai.

                Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	49.7 کلوبائٹ
ID:	12340875

                Click image for larger version

Name:	E23.png
Views:	1
Size:	41.9 کلوبائٹ
ID:	12340874
                   
                • #2963 Collapse

                  Assalam Aalikum!

                  Aaj, mai haftawar border ya mahana border par euro par long position kholne ja rah hun.

                  Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	28.0 کلوبائٹ
ID:	12340876

                  Jahan tak pound ki bat hai, iske bar-aks, mai short positions par gaur karta hun. Khas taur par, mai bottom par euro kharidunga lekin top par pound sterling farokht karunga. Is tarah, asuli taur par, dono currencies ek hi simt me aage badh rahi hai.

                  Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	33.2 کلوبائٹ
ID:	12340877

                  Japani yen ki bat karen to 109.700 par yaumiyah balance ka test nahin kiya gaya hai.Mahana hadd: oopri hadd - 111.317, nichli hadd - 107.406.Haftawar hadd: oopri hadd - 110.022, nichli hadd – 109.498.Qimat kal der ke trade me hi hafte ke hadd tak pahunch gai. Lehaza maine market me dakhil hone ki koi koshish nahin ki. Jahan tak aaj ki baat hai, suratehal badastur bani hui hai. Is tarah, mai qimat 110.022 se niche fix hone ka intezar kar raha hun. Agar qimat is satah ka dubara se test karti hai to, mai short jaunga.

                  Click image for larger version

Name:	E33.png
Views:	1
Size:	35.2 کلوبائٹ
ID:	12340878

                  Jahan tak Canadian dollar ki bat hai, 1.21670 par yaumiyah balance ka test nahin kiya gaya hai.Mahana hadd: nichli hadd - 1.19659, oopri hadd - 1.22036.Haftawar hadd: nichli hadd - 1.19659, oopri hadd – 1.22836.Traders ne 1.22036 ki satah par long positions shamil kin. Lehaza, agar qimat aaj 1.21015 tak pahunchti hai to, ek mazbut kharidari ka signal taiyar kiya jayega.

                  Click image for larger version

Name:	E34.png
Views:	1
Size:	31.8 کلوبائٹ
ID:	12340879


                     
                  • #2964 Collapse

                    Assalam Aalikum!

                    Aaj ka macroeconomic calendar aham releases se bhara hua hai. Lehaza, pound/dollar ki jodi ke pas numaya movement karne ka har ek mauqa hai.

                    Americi Federal Reserve sud ki sherah par apne faisle ka ailan karega. Zyadatar market ke participants ko ummid hai keh Fed salana buniyad par apni sud ki sherahon ko 0.25 fisad ki satah par barqarar rakhega. Sath hi, Federal Open Market Committee apne minutes aur economic forecasts ko jari karne ke liye taiyar hai.

                    Click image for larger version

Name:	E11.PNG
Views:	1
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12340898

                    Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	181.2 کلوبائٹ
ID:	12340899

                    Bartanwi pound ne consolidation zone ko chor diya hai aur imkan hai keh apni muqami nichli satah par pahunchegi. Buland satah par kharidaron ke zariye jama kiye gaye bahut se positions hain. Agar qimat tawil muddati uptrend ki support satah se niche aati hai to, pound/dollar ki jodi mumkena taur par niche jayegi. Jodi ki kami ka qarib tarin hadaf surkh daire se nishan zad hai.

                    Click image for larger version

Name:	E13.png
Views:	1
Size:	64.9 کلوبائٹ
ID:	12340900
                       
                    • #2965 Collapse

                      EUR/USD

                      Assalam Aalikum!

                      Takniki tajziyah

                      Euro/dollar ki jodi filhal sideways karobar kar rahi hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh quotes 1.2122 ke nishan se niche ki taraf zigzag karengi. 1.2054 aur 1.20 ki satah support ka kam karti hai. Iske alawa, 1.1990 par mazbut support hai, jo keh range ki nichli satah hai.

                      Takniki tajziyah is bat ki nishandahi karta hai keh farokht karne wale mazbut hain. Zahir hai, unke pas qimat ko niche dhakelne ke liye utni taqat hogi.

                      Click image for larger version

Name:	E21.PNG
Views:	1
Size:	114.0 کلوبائٹ
ID:	12340901

                      Buniyadi tajziyah

                      Kal ke aidad o shumar balkeh manfi the. Is ka matlab hai keh Americi Federal Reserve apni monetary policy ko sakht karne ke liye kuch eqdamat utha sakta hai. Market participants ko Federal Reserve ke sadar Jerome Powell ke khitab se Americi maishat ko support dene ke liye mazid eqdemat ke bare me kuch surag milne ki ummid hai.

                      Jahan tak ECB ki bat hai, regulator sud ki sherah par aane wale faisle ko inflation se ladne ke liye aham tool nahin manta hai.

                      Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	142.6 کلوبائٹ
ID:	12340902
                         
                      • #2966 Collapse

                        Assalam Aalikum!

                        Maine suna hai keh aaj Fed ek ailan karega. Lehazaz us waqt tak, market khamosh rah sakta hai. Kam az kam, mai kuch scenario farz kar sakta hun. Euro par, mujhe chart par nishan zad maujudah movement pasand nahin hai. Agar movement jari rahti hai to qimat badh sakti hai. Fir bhi, levels indicator red-line scenario ke mutabiq 1.2052 ya 1.2036 ki taraf downtrend ki tasulsul ko zahir karta hai. Lehaza mujhe abhi bhi girawat ki ummid hai.

                        Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	47.5 کلوبائٹ
ID:	12340903

                        Pound par, lazmi zone 1.4137 aur 1.4202 ki rah me rukawat ka kam kar sakta hai. Kal maine yaumiyah tawazun se long positions kholi. Mujhe lagta hai keh mai ise tab tak khula rakh sakta hun jab tak keh 1.2 filter ooper ki taraf na chala jaye. Yah lazmi zone me acchi tarah se ho sakta hai, aur red-line scenario ke bad qimat me kami jari rahegi. Maine apne oopri short deal ko khula rakhne ka faisla kiya hai kiyunkeh abhi bhi kam az kam 1.3994 ya 1.3950 tak downtrend ki gunjaish hai.

                        Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	46.0 کلوبائٹ
ID:	12340904
                           
                        • #2967 Collapse

                          Re: Eur/usd

                          Assalamu Alaikum main aaj aap Logon ke sath Euro USD currency pair ke analysis ko share karna chahta hun.

                          Mere Khayal Mein Euro USD currency pair Kisi bhi direction Mein Ja sakta hai Jaisa ke US dollar ne apni value ko thoda increase karna Shuru Kiya Hai To Tu mujhe lagta hai ki Euro USD currency pair down side ki taraf movement kar sakta hai.

                          Euro USD currency pair aaj ke din 1.2075 Tak Ja sakta hai Iske alava Agar Aaj US dollar Ne us session Mein Apni value ko decrease Kiya To Ham is currency pair Mein upward movement dekh sakte hain .

                          Agar Euro USD currency pair 1.2 150 ke level ko cross Karta Hai To Ham is currency pair mein aur Jyada movement dekh sakte hain aur aaj yah currency per 1.2 200 ke level ko cross kar sakta hai aaj market Mein Kuchh khaya impact news bhi hain Jiska market per effect Jarur Hoga aur Market Kisi bhi direction Mein Ja sakti hai
                          FRD 07 TRADING JOURNAL
                          • #2968 Collapse

                            Kal, Fed meering minutes ke darmiyan Americi me izafa hua. Natije ke taur par, tamam bade jode aakhir kar sideways range se bahar ho gaye. Sach kahun to, Fed kw sadar Jerome Powell ne kuch khas nahin kaha. Unhone sirf ishara kiya keh markazi bank ke quantitative-easing program ko silsilewar tariqe se band karne par tabadla khayal kiya gaya hai. Yahan unhone ne jin aham nukat ka zikar kiya woh hai:


                            Labor market ke halaat behtar hue hain, lekin nahamwar taur par

                            Tez muaashi taraqqi kafi had tak bahut kam growth rates se bazyabi ki akasi karti hai

                            Kuch industries me qalil muddati supply chain ke masayal sargarmi ko rok rahi hain

                            Gharelu ikhrajat tezi se badh rahe hain

                            Karobari sarmayakari mustahkam raftar se badh rahi hai

                            Majmui taur par berozgari pre-pandemic satah se niche bani hui hai

                            Rozgar me izafe par kayi awamil ke asrat aane wale mahino me kam hone ka imkan hai

                            Inflation me numaya taur izafa hua hai aur mumkena taur par zyada bana rahega

                            Consumer spending me recovery ki wajah se qimat ke dawab me izafa hua hai

                            Is bat ka imkan hai keh inflationary pressures mustaqil rahega

                            Agar aisi alamat thi keh inflation trajectory hadaf se ooper mustaqil taur par badh raha hai to, Fed monetary policy ke muaqqif ko adjust karne ke liye taiyar hoga.

                            Inflation ki taqaten ummid se zyada mazbut niklin. Is se pata chalta hai keh pound sterling oversold hone ke bawajud pound/dolaar ki jodi pas abhi bhi kamzori badhane aur 50% Fibonacci level (1.3957) par support line tak pahunchne ka mauqa hai.

                            1.3957 par pahunche par, jodi mumkena taur par apni tezi ke daur ko fir se shuru karegi aur 1.4000 ki satah par laut jayegi.

                            Kal ki khabron ke darmiyan, pound sterling uptrend line ko niche ki taraf todne me kamyab raha, hi se ek mazbut sell signal bana. Halankeh, mujhe ab bhi downtrend ke bare me shak o shobhat hain kiyunkeh kal ki kami ko rujhan ki tabdili ki bajaye islha ki haisiyat se dekha ja sakta hai.

                            Kal ki niche ki movement ke bad, mai haftawar chart par aakhri oopri wave ke sath Fibonacci grid ko muntaqil kiya.

                            Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	260.0 کلوبائٹ
ID:	12340924
                               
                            • #2969 Collapse

                              Assalam Aalikum! Kal, sab kuch ek sath hi badal gaya aur ab hamein islah ka intezar karne ki zarurat hai takeh jodi mushkil satah ka test kar sake aur mazid niche ja sake. Misal ke taur par, euro par, mai 1.2052 ki taraf islah dekhna chahunga. Aur yah lazmi zone aur maujudah liquidity ratio pattern ke test ki wajah se nahin hai, balkeh isliye hai kiyunkeh qimat ne kal ki satah ki indicator ko tod diya. Lehaza hamein abhi is par kam karne ki zarurat hai. Halankeh, is tarah ki islah sirf Peer ke roz se hi shuru ho sakti hai, lekin mai is ke bare me yaqini nahin hun.

                              Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	45.4 کلوبائٹ
ID:	12340925

                              Jahan tak pound ki bat hai, isne aakhir kar 1.3994 ki satah ka test kiya hai aur maine wahan kuch positions ko band kiya hai. Ab mai 1.3950 ke bare me soch raha hun jis par kuch kharidati ke positions baqi rah gayi thi. Jahan se, jodi ya to dusrust ho sakti hai ya nayi bulandiyon ki taraf kood sakti hain. Euro ke mukhalif, yaha hamare pas lazmi zone aur 1.4202 par maujudah liquidity ratio pattern hai jiska abhi tak test nahin kiya gaya hai. Jahan tak 1.4137 ki satah ki bat hai, mujhe lagta hai keh iska test pahle hi kiya ja chuka hai lehaza mai ise hadaf nahin manta hun. Abhi ke liye bas itna hi.

                              Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	60.6 کلوبائٹ
ID:	12340926
                                 
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #2970 Collapse

                                Re: Eur/usd

                                irfangondal*said:03-10-2013*02:05 AM

                                the Euro is just endeavouring to creep its way back in the direction of 1.35 after having starteOver the last twosome of weeks the Euro has swapped inside a slender variety between 1.3450 and 1.3550 as the latter grade has established itself as one of implication providing reasonable resistance. For some time now, the 1.34 grade had been causing the Euro headaches however a couple of weeks before it rushed higher and moved through there to its highest grade since February just shy of 1.3570. It completed that week somewhat smaller just below 1.3530

                                ........stay home stay safe and keep doing your best 💚💚

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X