Eurusd forum

No announcement yet.
`

Eurusd forum

Theme: Eur/usd
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #2851 Collapse

    EUR/USD ke liye Outlook

    Euro/dollar ki jodi ke liye tejarati suratehal waisi bhi bani hui hai. Iske alawa, bazar begair kisi hairani ke khula. Is tarah, jodi me kami ke mutaliq meri peshangoiyan ab bhi relevant hain. Halanke, imkan hai keh yah jodi farokht karne walo ki kam sargarmi ke dauran 1.1930-45 tak pahunchne me kamyab hogi, jo muhtat rahne ko tarjih dete hain.

    Yah intehai mumkin hai keh jab qimat apni reversal shuru karegi to, accumulation process 1.1925-1.1860 ki satah ke darmiyan hoga. Halankeh, Jumah ke roz, euro/dollar ki jodi nayi bulandi tak pahunchne me kamyab rahi. Iski haliya bulandi pichli wali ke muqable me sirf 10 pips zyada thi. Agar qimat 1.1860-70 ki support satah se niche girti hai to, yah mazid kam ho kar 1.1820-1.1800 ho sakti hai.

    Mazid izafe ki ummid krte hue imkan hai keh kharidar positions kholenge. Ab, itni badi taidad me sellers ki market me raddeamal ko samajhna zaruri hai, jo 1.1880-1.1860 ki satah par market me dakhil hue hain. Agar wo apne positions ko band nahin karte hain to, jo jodi yaqini taur par reverse karegi. Is surat me, yah 1.1730-50 tak ya is se bhi niche ja sakti hai.

    Khulasa yah hai keh, mai yah kah sakta hun keh jodi 1.1930-45 tak ja sakti hai. Halankeh, yah 1.1945-1.2000 ke darmiyan mazbut ilaqe se shayad hi gujregi.

    Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	271.9 کلوبائٹ
ID:	12340093

    Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	273.1 کلوبائٹ
ID:	12340094


    Trders ko yah bhi yad rakhna chahiye keh range ki nichli hadd ke pas badi taidad me sell positions kholi gai thi. Kharidar shayad ki qimat ko zyada badhayenge. Natije ke taur par, yah 1.1820-1.1800 tak slide kar sakta ha jo pahle hadaf ke taur par kam karta hai.
    Click image for larger version

Name:	E23.png
Views:	1
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12340095

    Exchange rate at the moment of publication: 1.1891
       
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #2852 Collapse

      EUR/USD, 2021

      Assalam Aalikum!

      Mai bhi kayi wojuhat ki bena par jodi farokht karne par gaur kar raha hun. Filhal euro kamzor hai. H1 par, qimat 1.1855 ki satah ke qarib mandra rahi hai. Halankeh yah ek ghante ka chart hai, bears is satah ko todne ke bare me sanjidah hai. 1.1926 ki satah yaumiyah muzahmat ka kam karti hai. Agar qimat ise tod deti hai to, uptrend ka imkan zyada ho jata hai. Yaumiyah candlestick tez hai, lehaza ham yaumiyah chart par jodi ki ooper ki simt dekh sakte hain. Halankeh, Jumah ke roz rujhan niche ki taraf palatne lagega. Yah hamare liye accha hai jab qimat zigzag mode me chalti hai. Agar aapne ghalt point par market me dakhilhue hain to, aap fir bhi apne positions ko average karke bacha sakte hain. European Union me khudrah farokht par aidad o shumar jodi ko mutawaqqe simt me bhej dega.

      Н1:

      Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	276.5 کلوبائٹ
ID:	12340096

      M15 par, qimat support satah tak nahin pahunchi hai

      Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	255.7 کلوبائٹ
ID:	12340097

      Yahan, euro ne ooper ki taraf ishara karna shuru kar diya.

      Delta cluster Н4:

      Click image for larger version

Name:	E33.png
Views:	1
Size:	497.8 کلوبائٹ
ID:	12340098

      Yahan ham dekh sakte hain keh bulls ahista-ahista ooper ki taraf badh rahe hain, halankeh movement bahut kamzor hai. Mai volume ka intezar aur accumulate karne ka plan bana raha hun kiyunkeh dakhle ka koi wazeh ishara nahin hai.
         
      • #2853 Collapse

        Re: Eur/usd

        Qeemat farokht aur qeemat khareed par dhian dia karain aur chota order lagain ta k account flash na kry
         
        • #2854 Collapse

          EUR/USD, 2021

          Assalam Aalikum!

          Aam taur par, mera trading plan ab bhi waisa hi hai. Asian session ke dauran euro/dollar ki jodi mandi ke rujhan me karobar kar rahi thi. Halankeh, European aur Americi session me, indicators ne euro me kami ya Americi dollar me izafa nahin dikhaya. Quotes musalsal teesre din sideways karobar kar rahi hain. Lehaza, mai sideways channel se bahar ooper ya niche ki taraf niklane ka intezar kar raha hun. Mujhe lagta hai keh ek bar jab qimat 1.1850 ki satah ko tod degi uske bad short positions kholna mumkin hoga. Is surat me, yah jodi kam az kam 1.1460 tak ja sakegi. Jahan tak long positions ki baat hai, mujhe lagta hai keh agar qimat 1.1960 ki satah ko overcome karti hai to yah jodi ooper ki taraf kam az kam 1.2170 tak ya isse ooper nadhegi. Halankeh, is scenario ki himayat ek mazbut Americi Dollar ke zariye ki jani chahiye, kiyunkeh euro filhal me azadana tezi ke daur ke liye kamzor hai.

          Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	222.3 کلوبائٹ
ID:	12340111

          M15 chart ke mutabiq, quotes bhi sideways trend me aage badh rahi hain.

          Kal, is jodi ke pas kami karne ka har mauqa maujud tha aur yahan tak keh niche bhi jane lagi, lekin fir isne apni slide ko rok diya. Aaj, jodi ke downward movement ki nishandahi karne wala signal bhi hai kyunkeh strength indicator ne fir se sell zone ki taraf mudna shuru kar diya hai. Iske alawa, qimat pivot satah se niche ja rahi hai. Qimat ke 1.1850 ki satah ko todne ke bad is mandi ke daud ke tez hone ki ummid hai. Aaj mai yahi tawaqqo karta hun.

          Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	180.6 کلوبائٹ
ID:	12340110
             
          • #2855 Collapse

            Re: Eur/usd

            euro ki currency Amrici maeeshat se si pi aayi ke ahem adaad o shumaar ke ajra se qabal Amrici dollar ke muqablay mein apni 200 din ki chalti ost ke aas paas mustahkam ho rahi hai. aik mazboot Amrici si pi aayi number eurusd jori ko 1. 1800 support level ki taraf bhaij sakta hai. mutawaqqa tor par aik mutawaqqa Amrici si pi aayi number eurusd ke liye taizi ka imkaan hai aur yeh jori 1. 1960 ki satah ki jaanch kar sakta hai.

            Eurusd jori sirf taizi ki hai jabkay 1. 1890 ki satah se oopar ki tijarat karte hue, ahem muzahmat 1. 1935 aur 1. 1960 ki satah par payi jati hai.

            Eurusd jori sirf mandi ka shikaar hai jabkay 1. 1890 ki satah se neechay ki tijarat karte hue, kaleedi taawun 1. 1840 aur 1. 1800 ki satah par milta hai.


            Click image for larger version

Name:	eug.png
Views:	1
Size:	8.6 کلوبائٹ
ID:	12340117
               
            • #2856 Collapse

              EUR/USD, 2021

              Assalam Aalikum!

              Kal, euro/dollar ki jodi 1.1860--1.1925 range se bahar ho gai. Us hadd ki oopri hadd ka fir se test karne ke bad, qimat me izafa hua. Ab yah jodi ghantawar chart par 200-roza moving average se ooper badhte hue, mamuli ooper ke rujhan me musalsal karobar kar rahi hai. Is tarah, quotes bulls ke control me karobar kar rhi hain.

              Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	211.2 کلوبائٹ
ID:	12340132

              Takniki indicators aur market ke jazbat ke mutabiq, imkan hai keh jodi apni ooper ki movement ko jari rakhegi. Lehaza, tezi ka rujhan tarjih bana hua hai. Mai Wolfe Waves pattern ke 6th wave ke kam karne ka intezar karunga. Iska matlab hai keh quotes mumkena taur par 1.1990-1.2020 aur downtrend line ki muzahmati ilaqe tak izafa karegi. In satahon se, mai short positions kholne par gaur karunga.

              Click image for larger version

Name:	E12.png
Views:	1
Size:	293.0 کلوبائٹ
ID:	12340133

              Aaj ke macroeconomic calendar me Fed ke sadar Jay Powell aur ECB ke sadar Christine Lagarde ki taqreeren shamil hai. Tawaqqo hai keh unke bayanat se jodi ki harkiyat mutassir hogi. Fed ki policy me kuch tabdiliyon se euro ki namo me faida ho sakta hai. Is surat me, jodi indicated resistance area tak nahin pahunch sakti hai.
                 
              • #2857 Collapse

                Euro ko ooper dhakel diya gaya. Mujhe yah pasand nahin hai keh koi lazmi zone nahin bacha hai. Iske alawa, filters ke mutabiq, jodi islah shuru karne wali hai. Aisa nahin hai keh mai ise pasand nahin karta hun, yah sirf mere long positions ke liye accha nahin hai. Lehaza, maine unhen band karne ka faisla kiya. Mai ab farokht ke rujhan ka intezar kar raha hun aur maine market me dakhil hone ki koshish bhi ki hai. Levels indicator 1.1774 par niche ki taraf hadaf ki nishandahi karta hai. Yah islah ke liye zyada qarib nahin hai lekin fir bhi mumkin hai. Bad me, filters ko dekhen aur sochen keh ham kya kar sakte hain.

                Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	53.1 کلوبائٹ
ID:	12340134

                Mai filters aur level indicator dono ke mutabiq kami ki tawaqqo karta hun. Indicator musalsal dusre din lazmi zone aur maujudah liquidity ratio pattern bana raha hai. Jodi pahle se hi unka test kar rahi hai aur imkan hai keh unse ooper toot jayegi. Aaj ki satah ka puri tarah se test kiya gaya hai, lehaza mai is par gaur nahin karta hun. Jahan tak kal ki satah ki baat hai, qimat ko ab bhi 1.3782 tak jane ki zarurat hai. Wahan se, girawat shuru karna mumkin hai. Dusri taraf, jaisa keh maine kal bhi zikar kiya hai, jodi 1.3805 par chor diye gaye lazmi zone ka test karne ke liye spike tashkil de sakti hai aur fir niche ki taraf palat sakti hai. Yah mere aaje ke options hain.

                Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	51.9 کلوبائٹ
ID:	12340135
                   
                • #2858 Collapse

                  Assalam Aalikum!

                  Asian session me nayi bulandiyan hasil ki gain hain. Yah bears ke liye accha ho sakta hai kyunkeh ham neele zone tak pullback ki tawaqqo kar sakte hain.
                  EUR/USD par, uptrend ab bhi jari hai. 1.1877 ki satah ka breakout rujhan ko mansukh kar dega. Kal ki satah 1.1977 hai, lehaza jab tak koi nayi satah tashkil nahin pati hai tab tak mai is satah ke qarib hi rahunga.
                  GBP/USD par, sab kuch usi tarah ho raha hai jaisa keh ham ummid kar rahe the. 1.3810 par hadaf ke sath ooper ki taraf movement jari hai. 1.3692 satah ki breakout rujhan ko mansukh kar degi. Yah satah kal se hi rah gai hai, aur abhi tab nayi satah tashkil nahin hui hai.

                  Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	109.2 کلوبائٹ
ID:	12340136

                  Ab aaiye dusre assests ke neele zone par ek nazar dalen.

                  Aaj, neele rang ke zone EUR/USD, pound, kiwi, Aussie, aur oil par mil sakte hain.

                  Aaiye dekhen keh woh kaise band honge. Kal, Canadian dollar ne tamam neele zone ko band kar diya, wapas ho gaya aur bahut niche chala gaya. Bat yah hai keh CAD ke liye oopri movement zyada tawil tha jiska matlab hai keh flat channel tashkil diya ja raha hai. Jaisa keh mai dekh pa raha hun, kisi bhi lamhe yah rujhan tabdil ho jayegi kyunkeh yah tawil arse se is tarah se bana hua hai.

                  Is dauran, EUR/USD par downtrend kami ke bajaye flat movement ho sakti hai. Yah bulls ke liye sazgar hoga. Halankeh, iske bare me bat karna abhi jadlbaji hoga. Hamein downward pullback ke dusre wave ka intezar karne ki zarurat hai, tab hi ham naye hadaf muqarrar kar sakte hain.

                  Aaj ke liye hamare pas yahi hai, hamein neele zones ke band hone ka intezar karne ki zarurat hai. Iske bad, M30 apr niche ki reversal ka intezar karen, kyunkeh yah ab uptrend ka ishara kar raha hai.

                  Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	200.8 کلوبائٹ
ID:	12340137
                     
                  • #2859 Collapse

                    EUR/USD, 2021

                    Assalam Aalikum! Takniki nuqtah nazar se, H4 chart ke mutabiq, euro/dollar ki jodi 11 March ki buland satah par pahunch gai hai. Iska matlab hai keh pichle downward movement par 100 fisad kam kiya gaya hai. Jodi ke tezi ke daud ko us muzahmat satah ke zariye mahdud kiya gaya tha, jis par qimat ne Double Top bearish technical reversal pattern tashkil diya tha. Takniki indicator ke mutabiq, iski tasdiq muzahmat ki satah aur overbought zone dono ke zariye ki ja sakti hai. Halankeh jab tak yah reversal pattern relevant hai, mai short positions kholne par gaur karunga.

                    Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	170.9 کلوبائٹ
ID:	12340150
                       
                    • #2860 Collapse

                      EUR/USD, 2021

                      Assalam Aalikum!

                      Takniki tajziyah

                      Kal, euro/dollar ki jodi 1.1950 se 1.1970 tak sideways trend me chal rahi thi, lekin fir yah badhkar 1.1988 ki satah tak pahunch gai. Jaisa keh yah tejarati chart se dekha ja sakta hai, 1.1974 ka nishan 50% Fibonacci retracement level ke taur par kam karta hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh qimat is satah ko ooper ki taraf tod degi aur 1.2062, yani 38.2% Fibonacci retracement ki taraf apni tezi ki movement ko jari rakhegi. Is tarah ki sust ooper ki movement mumkena aane wali tez girawat ka ishara karti hai. Khair, is dauran, euro/dollar ki jodi mazbut ho rahi hai.

                      Click image for larger version

Name:	E21.PNG
Views:	1
Size:	25.1 کلوبائٹ
ID:	12340151

                      Buniyadi tajziyah

                      Kal ke macroeconomic calendar me Americi Federal Reserve ke Chairman Jerome Powell aur European Central Bank ke sadar Christine Lagarde ki taqreeren shamil thin. Halankeh, Powell ne QE program ko marhala war karne ke bad sud ki sherah me izafe ki muntaqli ke tariqekar ke alawa koi nayi bat nahin ki. Iske alawa, unhone kaha keh bound sud ki sherah me izafe ke dauran ghair mutawaqqe ikhrajat ko cover karne ke liye kafi the. ECB ka irada apni monetary policy ko tabdil karne ka nahin hai. Bank abhi bhi apne pandemic emergency purchase programme (PEPP) par qayam hai. Stock markets bartari se satah band hui, lehaza sarmayakar euro ka karobar karne lage.

                      Click image for larger version

Name:	E22.PNG
Views:	1
Size:	225.7 کلوبائٹ
ID:	12340152
                         
                      • #2861 Collapse

                        EUR/USD, 2021

                        H1 chart ki buniyad par EUR/USD ka tajziyah

                        Mumkena rujhan ki paltaw ki satah ko muqarrar karne ke liye mere liye Parabolic indicator behtarin hai.

                        Click image for larger version

Name:	E21.gif
Views:	1
Size:	60.2 کلوبائٹ
ID:	12340166

                        Pichli candlestick ki qimaten: Parabolic qimat 1.1983 hai, candlestick ki ikhtetami qimat 1.1958 hai.

                        Parabolic qimat ikhtetami qimat se ooper hai. Lehaza, short positions kholna mumkin hai.

                        Moving average Parabolic indicator ke zariye faraham kardah isharon ko filter karta hai. Agar woh mukhtalif simt dikhate hain to, market me ghair yaqini suratehal hai aur trading khatarnak hai.

                        Pichli candlestick ki qimaten: moving average qimat 1.1963 hai, canclestick ki ikhtetami qimat 1.1958 hai.

                        Moving average qimat se ooper hai, lekin yah niche ja raha hai, jis se qimat niche ja raha hai.

                        Jab tak qimat stop-loss order tak nahin nahin pahunch jati hai, mai trade khula rakhunga, jo keh parabolic indicators ke sath badh raha hai.

                           
                        • #2862 Collapse

                          EUR/USD, 2021

                          Euro/dollar ki currency ki jodi kal ki ikhtetami satah par rahte hue filhal takniki islah ke hisse ke taur par mamuli kami ke sath aage badh rahi hai. Americi Dollar ne America ke musbat aidad o shumar ke darmiyan qimat me izafa hasil karne ki koshish ki lekin iski koshish nakam rahi. Greenback abhi bhi badi currencies ke muqable niche ki taraf karobar kar rahi hai. Aaj ke macroeconomic calendar me europe aur America dono se kuch aham releases shamil hain. Ibtedai tejarati session me, jodi shayad hi koi tez movement karne me kamyab hogi. Mai tawaqqo karta hun keh quotes apne niche ki islah jari rakhegi. Fir bhi, mujhe lagta hai keh euro/dollar ki jodi jald hi apne ooper ke rujhan ko fir se shuru karegi kiyuneh qimat bulls ke control me karobar kar rahi hai. Mumkena pivot point 1.1915 ki satah par hai. Mai 1.2005 aur 1.2035 ki hadaf satah tak pahunchne ke maqsad se jodi ko is nishan se ooper kharidne ja raha hun. Yaqinan, ek mutabadil scenario hai. Euro/dollar ki jodi kamzor ho sakti hai. 1.1915 ki satah ko tod sakti hai, aur iske niche consolidate kar sakti hai. Is surat me, 1.1885 aur 1.1875 ki satah ki taraf rasta khul jayega.

                          Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	302.4 کلوبائٹ
ID:	12340167
                             
                          • #2863 Collapse

                            EUR/USD, 2021

                            Pichle karobari hafte ke ikhtetam par, euro/dollar ki jodi sargarmi se 1.1990 ki muzahmat satah ka test kar rahi thi. Halankeh, qimat ise todne me nakam rahi, halankeh us satah ke test ke dauran hajam me izafa hota raha. Baad ke girawat ke bad, yah bulls ki kamzori ki nishandahi karta hai. Zahir hai, 1.1990 ke ilaqe me waqe pending sell orders ka ek bahut bada cluster qimat ko ooper khinchne ke kharidaron ki koshishon ko rok raha hai.

                            Lehaza, mujhe lagta hai keh munafa kamane ka behtarin tariqa short positions kholna hai. Aaj, mai tawaqqo karta hun keh euro/dollar ki jodi 1.1899 ki qaribtarin support satah par hadaf ki taraf apni niche ki movement ko jari rakhegi. Mujhe ummid hai keh qimat kal hi in hadaf ko hasil karne me kamyab hogi. Aaj ka sab se zyada imkan wala scenario 1.1930 ke ilaqe tak naqal o harkat par mushtamil hai.

                            Click image for larger version

Name:	E11.png
Views:	1
Size:	298.8 کلوبائٹ
ID:	12340176
                               
                            • #2864 Collapse

                              EUR/USD, 2021

                              Assalam Aalikum!

                              Asian session me, traders ne euro farokht karna shuru kar diya, jabkeh mujhe ummid thi keh euro/dollar ki jodi pahle 1.2020 ki muzahmat satah tak zigzag karegi aur uske bad hi niche jayegi. Is jodi ne 1.1595--1.1950 range ki nichli hadd ko tod diya, jisme yah guzishtah tin karobari dinon se chal raha tha.

                              Click image for larger version

Name:	E21.png
Views:	1
Size:	244.7 کلوبائٹ
ID:	12340177

                              Takniki nuqtah nazar se, market me zyadatar mukhtasar muddati farokht ke signal hain. Jahan tak sarmayakaron ke jazbat ki baat hai, market ke zyadatar participants short positiobs wale retail traders hain, lekin suratehal puri tarah se tabdil ho sakti hai. Aaj ka macroeconomic calendar kisi bhi aham releases se khali hai. Lehaza, mai dusre awamil par inhesar karunga. European Union me, Americi vaccine ke sath fir se mushkilat hain. Agar hukkam ne vaccine fraham karne walon ki tokri me tausie nahin karte hain to, unke liye coronavirus pandemic ka samna karna mushkil hoga. Lockdowns ke darmiyan, pura tourism industry mafluj ho gaya hai, jabkeh kuch mumalik tourists par zyada inhesar karte hain. Mai ab bhi tawaqqo karta hun keh euro/dollar ki jodi niche ki taraf karobar karegi aur mujhe lagta hai keh farokht karne wale aaj ya kal 200-roza moving average ko todne me kamyab honge. Is surat me, quotes 1.1910 support area tak gir jayegi. Yaqinan, ek mutabadil scenario hai, jo Americi dollar index me kami ka ishara karta hai. Is surat me, euro/dollar ki jodi 1.1990-1.2020 ki muzahmat ilaqe tak jayegi.

                              Click image for larger version

Name:	E22.png
Views:	1
Size:	295.5 کلوبائٹ
ID:	12340178
                                 
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #2865 Collapse

                                EUR/USD, 2021

                                Assalam Aalikum!

                                Takniki tajziyah

                                Euro/dollar ki jodi ke pas ab bhi mazbuti hasil karne ka mauqa hai, kiyunkeh quotes ne apni hadd ko 1.1943 tak extend kiya aur us satah se ucchal gaya. Iske alawa, mai tawaqqo karta hun keh euro/dollar ki jodi 1.1988 ki satah tak aage badhegi aur shayad 1.2000 ki buland satah tak pahunch jayegi. Market me utaar chadhaw kam hai, lekin participants European session me shamil honge, aur Americi session me mumkena taur par yah jodi 1.2021 ki satah aur is se bhi ooper jayegi.

                                Click image for larger version

Name:	E31.png
Views:	1
Size:	151.9 کلوبائٹ
ID:	12340179

                                Buniyadi tajziyah

                                Crimea ke aas pas ke scandal ne euro/dollar ki jodi ko ooper dhakel diya. Nayi monetary policy ke liye Fed ki taiyari America ko aakri anjam tak pahuncha rahi hai. Aisa lagta hai keh regulator ne monetary policy me tabdili ke liye wazeh mansuba bandi ka izhar kiya hai, lekin kuch muaashi barikiyon ki wazahat nahin ki. America wabai marz me mubtela hai. York City me ijtemai qabar me tabul ke dafan hone ki tasweer samne aayi hain, kiyunkeh coronavirus se marne walon ki taidad me izafa jari hai. European Union ko vaccination se mutaaliq khabron par tashwish hai. Jin logon ko vaccine lagaya gaya hai woh fir se infect ho rahe hain. Kuch ka kahna hai keh pharmaceutical companies ne vaccines ke bare me puri duniya ko dhokha diya hai.

                                Click image for larger version

Name:	E32.png
Views:	1
Size:	233.5 کلوبائٹ
ID:	12340180
                                   

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X