Governor Andrew Bailey ke haaliya comments jo kehtay hain ke agar inflation behter hoti hai tou zyada aggressive rate cuts ka imkaan hai, ye GBP ke gains ko limit kar saktay hain. Ye is baat ki taraf ishara karta hai ke GBP/USD ke liye downside ka rujhan ho sakta hai aur kisi bhi mazeed gains ko selling opportunity samjha ja sakta hai. Aindah dekhain tou US dollar aur GBP/USD ke exchange rates ko Federal Reserve ka Tuesday ko khitaab aur Wednesday ko FOMC minutes ke izhar say kafi asar par sakta hai. Is ke ilawa, aanay wali US Consumer Price Index (CPI) aur Producer Price Index (PPI) bhi US dollar ki demand ko kaafi had tak mutasir karain ge, jo ke is pair ko nayi momentum de sakti hai. Technical lehaz se dekha jaye tou, jo upleg 1.2300 se le kar 1.3433 ke darmiyan hai, uska 23.6% Fibonacci retracement level, jo 1.3165 par hai, ek aham resistance ka point ban sakta hai. Agar ye pair apni upward momentum ko qaim rakhne mein kamiyab hota hai aur 1.3433 ke top ko tor leta hai, tou bias ek zyada bullish rukh ikhtiyar kar le ga, aur February 2022 ka peak jo ke 1.3635 par hai, wo agla target ho sakta hai. Iske ilawa, 20-day Simple Moving Average (SMA) jo ke kuch ooper hai, ko bhi daikhna chahiye kyun ke wo bhi ek aham resistance level ban sakta hai. Geopolitical dynamics ke hawalay se, Israel ka strategic alignment aksar United States ke saath dekha jata hai, khaaskar Middle East mein apni military aur intelligence actions ke zariye. Haal hi mein Lebanon mein jo pager explosion waqiya hua hai, us mein advanced explosive technology aur exact timing ke ilzamat lagae gaye hain jo ke kisi external force ka shak paida karte hain, jismein taqatwar quwatein, jaise ke US, shamil ho sakti hain. Edward Snowden, jo ke US government ke PRISM surveillance program ko expose karne ke liye mashhoor hain, ne bhi is waqiya par apni fikr ka izhar kiya hai. Unhone ye baat highlight ki ke is hadsa ne technology ke misuse ke khatarat ko aur zyada ujaagar kiya hai aur yeh ek dangerous precedent set kar raha hai jahan electronic devices ko weaponize kiya ja sakta hai. Unke comments is waqiya ke hawalay se shak ko aur gehera karte hain, aur modern conflicts mein technology aur surveillance ke broader implications ko highlight karte hain. US, apne taareekhi rujhan ke lehaz se jo Middle Eastern affairs mein influence aur control rakhne ke hawalay se mashhoor hai, ko kuch log is hadsa ke peeche dekhte hain, jo ke apne geopolitical aur resource control ke hawalay se har tarah ke actions karne ke liye mashhoor hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим