Dosto bohat saray dost trade ko modify karna nahi jantay, trade modify karnay ka matlab yeh bhi ho sakta hay keh ap stop loss laga lain ya phir take profits, ya phir pahlay say lagi hui stop loss ya take profit ko change kar sakain, is kaam k lye ap trade modification ka use kartay hain, is kaam k lye ap apnay existing trade ko double click kartay hain to samnay yeh window ati hay.
is picture may ap dekh saktay hain keh ap ko 2 khanay level k nazar a rahay hain, yeh pips k khanay hain, aur jo red wala button hay wo stop loss ka hay aur jo blue wala hay wo take profits ka hay, ap jitni pips ka fasla rakhna chahain us ko select karain, jaisa keh normally log 30 pips ka rakhtay hain, ap bhi aisa he rakh lain, aur us k baad ap red button ya blue button ya dono ko press karain gay, agar sirf stop loss lagana hay to sirf red button press karain, blue na karain, aur agar sirf take profits lagana hay to phir red button press na karain, ab jabb keh ap red button ko press karain gay to neechay walay khanay may price likhi ajaye gi, aur agar market ziada tez nahi hogi to neechay wala jo big bar wala button hay wo active ho jaye ga, warna jaisa keh oper picture may dikhaya gaya hay, waisa he deactivate rahay ga. jab ap us button ko press karo gay to ap ka stop loss aur take profits dono lag jaye ga, isi ko trade ki modification kehtay hain. trade modification may trailing stop bhi ata hay, lakin wo alag say lagta hay, yaha say nahi.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим