what Is VPS:VPS mukhafaf hay VIRTUAL PRIVATE SERVER ka. VPS ek aisaa server hay jis ka istemaal aap kar sakty hain, aur wo server 24 hours online rehta hay. VPS main 24 ghnty internet ke sahoolat mojood hoti hay aur aap VPS mukhtalif companies sy purchase kar sakty hain. Ye aik tarha ka aapka apna computer hota hay jo har wakt online hota hai.How To Use VPS:VPS ko istemaal karny kay ly aapko sab sy pehly kisi bhe company sy VPS khareedna pary ga. Us kay baad aapko wo company VPS kay istemaal kay ly IP address, User Name, Password apko dy ge aur wo aap nay apny computer par login karna hain. Apny Computer login karny k ly aap Remote Desktop Connection kay option ma jaain. Us kay baad apna IP, User Name aur Password lagain to aapko access mil jaay ge.Why We Use VPS:Trading ke lehaaz sy ye service yani VPS es ly use ke jaati hay k jab aap ROBOT, apny Meta Trader par lagana chahty hain aur us k ly baaz aoqaat aapko 24 ghnty online rehna parta ha. Wesy to aap ghr main bhe online reh sakty hain lekin apny computer par Power ya Connection failure ke wajha sy aapki trading mutasir ho sakti hay. Jis kay ly VPS service istemaal ke jaati hay.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим