kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?
    friends forex market main jab ham kam kar rahy hoty hain koi bh hamri strategy jab news time signal day tu kia hmain news time say pehly wala signal consider karna chaheay ya nahi aksar enior ka kehna hai ky news say pehly ju bhi signal milta hai wo aksar fake aur false breakout hota hai jiss ki waja say market hamain trap karti hai tu ap ka es ky bary main kia idea hai ky news ky time order laina chaheay jab ap ko signal mily ya ap ko news ka wait kar ky phir he lagana chaheay sab friends apne apne comment share karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

    Dear ap ko pata hai k jab market mai koi news aati hai to aus time ais market mai moment bahot hi fast ho jati hai aor market technical ko follow ni karti agar ap ko news se kuch time phly koi signal mil raha hai to aus par trade na kary kun k agar ap ki trade running ho gi aor news aa jaye jis se market ap k opposite jaye to ap ko ais mai kafi zayda los ho sakta hai ais liay ap ko ais market mai news k time par trade ni karni chaye ais se ap ko kafi zayda loss ho jata hai agar ap ne fundamental par kaam karna hai to news k time par kaam kar sakty hai aor aus se acha profit bana sakty hai agar ap ne ais market mai dekha ho to ap ko ais mai news k time par pending orders lagany hoty hai jis mai se aik trade lag jati hai.
    • #3 Collapse

      Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

      G nahi dear hamari ye koshish kamyab nahi ho sakti hay es ki waja ye hoti hay esy point par indicators signals fail ho sakty hey, kesi be important news key release se pehly jo signals hamy milty hey yes par believe nahi karna chaye, news key bad indicators jo signals dety hey es ko important be samjna chaye aur es ko follow be karna chaye, magar jo signals news se pehly key hoty hey wo zeyda powerful nahi hoty aur na hi realizable hoty hey agar esy signals ko follow karny ki gahlti ki jaye aur important news ki waja se market opposite direction me move kary to bahot nuksan ho sakta hay.
      • #4 Collapse

        Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

        Dear news trading karne ke liye zaruri hota hai ki aap news ke aane Ka intezar Karen kyun ki tamam expert sirf prediction karte Hain ki is news ke aane ke bad market up hoti hai ya down kyunki jo bhi data press release main shamil Kiya jata Hai vah kisi ke pass available nahin hota. News trading any se pehly aap ke pass meeting ke news ke timing available hote hain aap use timing mein Jab news release hone wali hoti hai to trading terminal per maujud honi chahie aur jaise hi kisi price mein movement shuru hoti Hai jo ki rapid hoti hai to aap uske trend mein apni trade place kar sakte hain otherwise news ke aane se pahle tradeplace karna bewakufi hai.
        • #5 Collapse

          Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

          News se pehle ka signal:

          Mere khayal mein agar hum Economic calender ko achi trha se parh chukey ho to hamen news ke barey mein bohot hi ziada information ho jati hey aur Almost aisa bhi hota he keh Market mein aik Acha Pattern ban jata hey Aur news bhi us se related lag rahi hoti hey to is wajha se bhi hum us mein kabhi kabhi confirm trade bhi laga saktey hein but yeh har waqat aisa nahin hota hey, kabhi kabhi hamen news ke time Market ka jo chart hota hey us se bhi andaza ho jata hey aur uske sath sath hum Economic calender ko dekhtey huwe agar hamen koi acha signal mila hey to hum usko follow kar saktey hein aur us mein kamiyab ho saktey hain lekin hamen always news ke time Apna Stop Loss zaroor use karna chahiye iske baghair hum kabhi bhi is mein kamiyab nahin ho saktey hain.
          https://t.me/pump_upp
          • #6 Collapse

            Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

            Jab important news ya data ke release ka time hota hai tu iss time per aksar market apny normal way mai behave nai karte hai aur prices ke movement b normal nai hoti hai. iss waja say data aur news ke release kay time per trading indicators aur signal bohot he ziada ghalt b ho sakty hain. news aur economic data ke release kay time say pehly ju signal milta hai us pay trading bilkul b nai karni chahea.
            Data aur news ke release kay time per traders ko wiase b wait he karna chaiey kion ke news aur data ke release kay time per market mai risk kafi barh jata hai aur trading bohot he ziada chancy ho jate ha jis ko avoid karna he best rehta hai.
            • #7 Collapse

              Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

              News time sy pehly jo signal milta us py trade krni chahye ya ni. To mere dosto mn apko btata hon k analysis jo ham yahan krty hain do tarha k hoty hain ik technical or dosra fundamental. Normally to market technical analysis py hi move krti mgr jab koi news aa jati to technical analysis fail ho jaty balky fundamental analysis kam aty. Agr to apko news sy pehly pt hy or ap k resources boht hain or confirm hy k kiya change ya news anny wali hy to apko trade krni chahye qn k news k bad market boht fast move krti. Jis sy apko boht profits hoga. Mgr ap ni janty k news sy market kidr move kry gi to news k bad hi apko trade lgani chahye. Ta k ap big loss sy bach saken.
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: kia news time say pehly ju signal milta hai us pay trade karni chahea ya nahi?

                Trading mai news aur signals ko bohat ehmiat haasil hai. Traders signals pay bhi kaam kertay hain aur news ka bhi wait kertay hain aur uss pay bhi kaam kertay hain. Jo traders news aur signals dono pay kaam kertay hain unkay liye ye bhi zaruri hai kay signals ko tassali baksh tareekay verify bhi ker lain. Kiyu kay Agar signals ko verify nahi kia jaey tou nuqsaan bhi ho sakta hai. Signals expert traders ya groups ki taraf say atey hain aur past ki trading ko daikhtay huay diye jatey hain laikin current trading mai haalaat tabdeel bhi ho saktay hain.

                Traders ko signals ko trading terminal pay verify ker laina chaiye. Uss kay liye traders ko time frames ka istamaal kerna chaiye. M30, h1, d1 m1 say traders khud bhi market ki previous movements daikh saktay hain aur pichlay trends ko daikhtay huay khud analysis ker kay bhi signal day saktay hain aur jo signals unhain milat hotay hain unhain verify ker saktay hain. Agar unn kay analysis kay mutabiq aur trends ki roshni mai signals verify ho jain tou Un pay trading kernay mai koi masla nahi hai. News aur signals do alag alag cheezain hain unhain milaanay ki zarurat he nahi hai.

                اب آن لائن

                Working...
                X