Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Aaj mai future energies pay baat kerna chahta hu aur kuch maloomaat aap say bhi share kerna chahta hu. Crude oil jab hum trading terminal pay symbols mai jaa kay daikhtay hain tou waha future energies kay section mai milta hai. future energies ka section iss liye bana hai kay crude oil energy ki aik type hai aur future ka matlab hota hai kay crude oil ki future ki trading chalti hai. Gold ya dusray kisi bhi commodity ki tarah current trading nahi chalti.
crude oil ki aaj ki trading ka matlab hai kay 2 months kay baad delivery hogi. sada alfaaz mai iss tarah kaha jaa sakta hai kay aaj agar crude oil ki trading 62.5$ mai hoti hai tou ye asal mai 16 november ki deals ho rahi hongi.Issi liye issay future energy kaha jata hai.
local markets ki monoply ye hoti hai jiss mai state oil company shaamil hoti hai kay public ko current trading price ka bata kay local markets mai prices fori tore pay barha di jaati hain.Jo bilkul sahi nahi hai kiyu kay aaj ki price tou 2 month baad ki hoti hai phir local market mai petrol diesel ki prices barhana kaisay theek ho sakta hai? Humaey inn baato ka pata hona chaiye aur public ko iss monoply pay baat zaroor kerni chaiye

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим