Crypto main Investment Karnay ka sahi waqt
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Crypto main Investment Karnay ka sahi waqt
    Dear Forex Members

    Jab be trader khas kar crypto main loss mai jata hai us ki waja main yeh hoti hai kay ap apni trading skills ko improve be nahi karty hain or ap buy us stage mai kar rahy hoty hain jaha expert trader crypto mai sale kar rahy hoty hain. yeh he waja hai kay trader crypto mai spot trading kar kay be loss ka shikar ho jaty hain. ap jo be alt coin ya token lay rahy hain us ka sahi tarha tajziya karain. or daikhain kay us ki price abhi kis jaga pay hai or us kay mazeed aisi kon c progress achi wali hai or negative wali hai jo future mai ho sakti hai us ki base pay apni investment karain.

    Jab ap sahi waqt mai investment karain gy tu ap ka alt coin ya token ap ko kuch dino mai amount double tak kar kay day sakta hai nah tu ap nay sahi time pay investment nahi ki tu ap ko kafi zaida wait karna pary ga or ap ko bad mai jis sy loss be ho skata hai. esleye sahi waqt ka intikab karain or analysis kar kay phir us mai trade kar kay faida hasil kar sakty hain.

    Shurkiya.

اب آن لائن

Working...
X