forex trading mein RSI indicator ka istamal kisay krty hai.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    forex trading mein RSI indicator ka istamal kisay krty hai.
    Hello dosto aaj mein RSi indicator k baray mein batao gi magar is mein hum double Rsi cross over forex strategy ko istamal karay gay. bohat simple strategy hai jo rozana kam se kam 20 dollar ka profit earn krnay mein madad karay gi. yeh strategy new traders k laiye bohat hi achi hai. is strategy se ap 20 pips kama sakty hai aur is tara hafty mein 100 se 400 pips tak b kama sakty hai.

    Currency pairs:

    yeh strategy sb currencies pairs per istamal ki ja sakti hai.

    Time Frame:

    yeh strategy sb time frame mein kam krti hai 5 Min se lay kr day k chart per istamal karay.

    strategy laganay ka tarika:

    kisi b currency k liaye chart ka intakhab karay. phir chart per RSI indicator lagaye. kiu k is mein cross over ka kam hota hai is liaye is mein RSI indicator do dafa lagay gay.
    1. ek mein 2 din ka intakhab karay yani RSI .(2)
    2. dusaray mein 12 din ka inthakab karay RSi (12).

    Trading mein istamal:

    1) jb RSI (2) dusari RSI (12) ko nicahy se cross karay aur uper ki taraf ruk karay to buy karay.
    2) jb RSI (2) dusari RSI (12) ko uper se cross karay aur nichay ki taraf ru karay to sell karay.

    Click image for larger version

Name:	rsi.jpg
Views:	1
Size:	221.3 کلوبائٹ
ID:	12461978

    Note: baz ukat cross over tu banta hai magar candle stick k khatam yani banay k bd cross over khatam / gaib ho jata hai. is liaye jb tak candlestick close na ho trade na karay.

    Take profit:

    20 pips ka take profit lagaye. laykin yeh fit nai hai ap market trend dhekh kr is ko kam ya zaida b kr sakty hai. ap ki apni marzi aur analysis per b hai.

    Stop lose:


    is tara is mein stoplose 30 pips ka lagaye. laykin yeh b fit nai hai market trend ko dhekh kr stop lose ko kam ya zaida kr sakty hai.

    is strategy se ap rozana 20 pips kama sakty hai agr ap uper wali tamam cheezo ko follow karay to.

    Note: market mein agr koi news ya data aynay wala ho to is strategy ko istamal na karay aur real account per use krnay se phlay demo per istamal use karay is strategy ko.

اب آن لائن

Working...
X