Details about provision of buy and sell signals by Parabolic SAR indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details about provision of buy and sell signals by Parabolic SAR indicator
    Parabolic SAR aik momentum indicator hota hay jo prices kay strong uptrend aur downtrend main potential trend reversals ko identify karnay kay liay use hota hay, is main uptrend ki reversal downtrend main aur downtrend ki reversal uptrend main hoti hay, parabolic SAR ko aik ghair rivaiti oscillator hay jo currency pair ki overbought ya oversold conditions kay baray main batata hay,


    Function of parabolic sar indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_1915_49_4781.jpg
Views:	1
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12601382


    Parabolic SAR main jab dots price kay below show hon to yeh uptrend ki indication hoti hay aur jab dots price kay above show hon to yeh downtrend ki indication hoti hay, price kay below dots yeh show kartay hain kay market main buyers ka control hay aur bullish moment hay aur price say above dots sellers kay control aur bearish moment ko show kartay hain, is main 0 say 100 ki values ki bajay series of dots use kiay jatay hain, jo trend kay mutabik prices kay above ya below show hotay hain, parabolic SAR kay three primary functions hotay hain jin main pehla yeh kay current trend ko highlight karna, second yeh kay current trend main reversal ki prediction ki koshish karna aur reversal kay doran entry aur exit points kay signal faraham karna,


    Working features of parabolic Sar indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_1915_49_3140.jpg
Views:	1
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12601383

    Indicator ki help say hamain trend main trading kay liay boht helpful signal miltay hain jis say na sirf entry point milta hay bal kay hamain exit point bhi milta hay aur is tarah trader yahan per kafi effective trading kar sakta hay, laikin jab market sideway moment main ho to phir is main trading mumkin nahi hoti kiun kay is kay signals kafi false hotay hain aur in say loss kay ziada chances hotay hain, jab dots flip kartay hain to ye indication hoti hay kay ab price direction main potential change honay wali hay, parabolic SAR lagging indicator hotay hain jis ka matlab yeh hay kay yeh price action ko follow kartay hain yeh us waqt hi useful hotay hain jab prices strong trend ma hon isko hm dusray indicators kay sath combine kar kay useful results hasil kar saktay hain, parabolic SAR aksar false signal bhi day daitay hain lihaza hamain careful ho kay inhain use karna chaiay

    Techniques to get trade signals by parabolic sar indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_1915_49_5712.jpg
Views:	1
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12601384

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_1915_49_6753.jpg
Views:	1
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12601385


    yeh trending markets kay liay ya long rallies kay liay proper strategy bananay kay liay boht mufeed hotay hain, sideways markets main is indicator ka use itna mufeed nhi hota, mukhtalif pairs ki prices rise karnay kay sath parabolic SAR kay dots bhi rise kartay jatay hain aur trend ki advancement kay sath speed increase kartay jatay hain, yeh indicator market main enter aur exit honay kay liay trailing stop aur reverse methods ko use karta hay, steady trends wali market main yeh behtar results daitay hain

اب آن لائن

Working...
X