Discussion on trade procedure adopted o occurence of falling knife situation in forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion on trade procedure adopted o occurence of falling knife situation in forex
    forex main falling knife say murad market ki moment main sharp downward moment hay, jab kisi pair ya commodity ki price 1 month main 50% say kam ya 5 month main 70% say kam ho jay to trader yeh khyal kartay hain kay uska downward trend end ho gia hay laikin woh pairs apni falling moment continue rakhtay hain aur mazeed down ho jatay hain, iska matlab yeh hi hay kay falling knife ko catch nhi karna chaiay bal kay usay neechay drop honay daina chaiay aur us kay baad trade open karni chaiay,

    Use of indicators for confirming market moment during falling knife situation:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_0657_45_3330.jpg
Views:	2
Size:	13.5 کلوبائٹ
ID:	12601234

    falling knife situation main hamain upward momentum ki confirmation karnay kay liay relative strength index (RSI) ko use kar saktay hain, is tarah hamain falling knife main trading ki jaldi nhi karni chaiay aur pair kay rebound ka wait karna chaiay aur proper confirmation k baad buy ki trade select karni chaiay, market ki price jab down fall main hon to us main buy ki trade open nahi karni chaiay, Agr ham buy ki trade kay liay market kay bottom ko pick karain gay to hamain buy ki trade main bhot ziada profit hasil karnay ka chance mil sakta hay, market main is time par buy ki trade ko open karna mufeed hota hay

    Falling knife effects market moment:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_0657_45_5391.jpg
Views:	1
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12601235

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_0657_45_6232.jpg
Views:	1
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12601236


    Agar market falling knife ki state main ho yani simple words ma kaha jay kay market taizi say downward move kar rahi ho to trader ko isko foran buy nahi karna chaiay, yeh whipsaw ki surat main rebound hota hay, traders ko isay catch karnay ki koshish bhi nhi karni chaiay, kiun kay is fall ki duration aur magnitude kay baray main kuch nhi keh saktay, falling knife hamain aik kisam ki warning daita hay kay long position say market main us waqt tak entry ki koshish na karain jab tak yeh bottom tak na pohnchay, jab kay short positions main proper indicators kay sath trade karna secure rehta hay,

    Main reason behind occurence of falling knife state in forex market:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230321_0657_45_7093.jpg
Views:	1
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12601237

    Mainly forex market falling knife ki state main us waqt jati hay jab koi bad news market ko hit karti hay aur jab tak woh bad news good news main change nahi ho jati trader ko buy ki trade open nahi karni chaiay, jaisay hi koi good news hasil ho to buy kar laina profit ki waja ban sakta hay, price ki falling kay doran short positions kay target kay sath trade karna aur rebound say pehlay trade close karna profitable ho sakta hay, is tarah ki situation main market kay downward momentum ko follow karna boht dangerous aur risky ho jata hay aur hamaray pass jitna bhi capital ho ga woh waste ho sakta hay

اب آن لائن

Working...
X