Details Of Inverted Hammer Candlesticks Pattren.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details Of Inverted Hammer Candlesticks Pattren.
    Assalamu Alaikum dear friend Sumit Karti hun aap sab khairiyat se Honge aur Apna Achcha kam kar rahe Honge Jab aap is market Mein kam karte hain to aapko bahut hi careful hokar kam karna hota hai aur Market ko acche tarike se focus karna hota hai agar aap market ko proper judgement karte hain aur different important analysis per completely study karte hain to aapko bahut hi fayda Milta hai aapko is market Mein Koshish Karna Hogi ki Jyada Se Jyada hard work Karen aur acche ke sath trading Karen tab hi aap is market Mein Achcha profit banaa sakte hain market Mein different patterns available hote hain aur Har patterns ki ek separate shape hoti hai aur isko Samajh Kar trading karna hoti hai agar aap is market Mein patterns ko acche tarike se samajh Jaate Hain To aapko bahut hi Achcha fayda Milta hai aur Market mein aapko different time frames Mein analysis karne hote hain main aaj aapse bahut hi perfect information share karungi jo aapki trading ko Achcha result de sakti hai to Mera topic hai inverted Hammer Candlesticks Pattren kya hai.

    Definition Of Inverted Hammer Candlesticks Pattren:

    Dear forex member Financial market main jab bhi kisi assets ki prices bearish trend k dawran aik candle din k aghaz se hi pehle bohut ziada upward jaye lekin din k ekhtetam tak wo wapis apni opening position k qareeb par jab close ho jate hen, to iss dowran jo candle banti hai, wo aik inverted hammer candle banti hai. Inverted Hammer candle ki opening aur closing prices aik dosre k qareeb to hote hen, lekin candle k upper aik lamba shadow hota hai. Ye shadow candle k prices k intehaye ziada satah ko zahir karti hai. Candle ki open aur close point aik dosre k qareeb hone ki waja se iss ki small real body banti hai. Inverted Hammer candle ki lower side par ya to shadow ya wick nahi hona chaheye, lekin agar ban jata hai, to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada nahi hona chaheye, jiss se candle ki shape badalne ka hadsha ho.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T184057.393.png
Views:	45
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12600584

    Identification:

    Dear forex member Inverted hammer candle main aik small real body hoti hai, yanni open aur close aik dosre k qareeb hote hai, lekin up side par aik long shadow hota hai. Ye candle prices main humen darjazzel tarah ki formation main ban kar ati hai.

    Explanation:

    Dear forex member Inverted hammer candle main aik din k dowran prices bohut ziada bearish ja kar trend reversal ki wapis ki position par banti hai. Ye aik single pattern color ki candle hai jiss ka open, close aur low price aik dosre k qareeb aik small real body hoti hai, lekin high price same nahi hoti. Dekhne main ye candle aik opposite T jaisi hoti hai. Ye candle prices k top par banne wali gravestone doji candle aur shooting star candle se melti julti hai. Inverted hammer candle prices k top par bearish reversal trend ka kaam karne wali banne wali candle hanging man candle ki opposite direction hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T184108.255.png
Views:	19
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12600585

    Inverted hammer candle ki aik small real body k sath upper side par long shadow k hoti hai. Candle k prices k bottom par banne ki waja se bullish trend wali hososeyat hoti hai, jab k prices k bottom par candle ki color ki koi ahmeyat nahi hoti hai, lekin ye prices k bottom ya bearish trend main lazmi banni chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T184046.094.png
Views:	49
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12600586

    Chart In Analysis:

    Dear forex member Inverted hammer candle market main kisi assets ki prices ko aik bearish trend k dowran upper jane par waqti tawar par rejection ka samna hota hai, jiss se prices wapis apne open price k nezdek close ho jati hai. Ye candle bearish trend k dowran ya low prices main banne ki waja se aik bullish trend reversal candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main selling pressure ka khatme ka ishara hota hai, jiss se traders market main buy ki entry karte hen. Market main buy ki entry se pehle aik bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, q k ye aik single candle pattern hai. Bullish real body wali candle k bad market main buy ki entry karen. Stop Loss candle k sab se lower position ya candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images - 2023-03-18T184037.163.jpeg
Views:	1
Size:	22.0 کلوبائٹ
ID:	12600587

اب آن لائن

Working...
X