Tweezers Bottom Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tweezers Bottom Candlestick Pattern
    Tweezers Bottom Candlesticks Pattern

    Tweezer bottom candlestick pattern uss waqat banta hai jab bhi humen lagta hai, k ab assets ki demand me izafa aur supply me kami hone wala hai,q k pattern k bottom par do candles same low position banati hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai jismein pahli candle ek bearish candle hoti hai jo ki prices ko niche ki taraf le jaane ki koshish mein hoti hai, yah candle market mein current trend yani barish trend ko zahir karti hai jismein prices upper se lower side per move karti rahti hai jabki pattern ki dosri candle ek bullish candle hoti hai jo ki same bearish candle ke close point per open hokar upar ja kar close hoti hai. Pattern price chart par market me sellers ki kamzori ki nishandahi karti hai. Pattern ke mutabik jab bhi sellers market mein price lower level tak lekar jaate hein, to uske bad wahan par isko trend reversal ka samna karna parta hai yah position market mein prices ke liye aik support level sabit hota hai jismein dono candle same aik lower position per apni prices ko open ya close karti hai.

    Click image for larger version

Name:	18-1.png
Views:	2
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12600498

    Pattern Basic Charestirestics

    Tweezer bottom candlestick pattern ki shape same tweezer ki tarah hi hota hai, jiss me dono candles ka lower prices aik same nuqta hota hai, jab k upper prices me tabdeeli ho sakti hai. Market me ye pattern do mukhtalif long real body wali bearish aur bullish candles se mel kar banta hai. Pattern k leye darjazel awamel ka khas khayal rakhen;

    1. Before Pattern

    Tweezer bottom candlestick pattern se pehle prices ki position bohut ahen hen. Pattern koi bhi ho wo ya to top prices par ya bottom prices par hona chaheye. Ye pattern bhi prices chart par bearish trend ya lower prices k baad bana chaheye, jo k bullish trend reversal k leye aik perfect position banta hai.

    2. Candlesticks

    Tweezer bottom candlestick pattern ki pahli candle market k current bearish trend k mutabiq aik black candle hoti hai, jab k dosri candle trend reversal k mutabiq bullish trend wali candle honi chaheye. Candlesticks ki real body ka small ya short hona zyada zarori nahi hai, lekin dono candles ka lower point same hona chaheye.


    3. After Pattern


    Tweezer bottom candlestick pattern k complete hone k baad prices market me trwnd ki tabdeeli ki koshash zaror karti hai. Ziada tar chances hote hen, k ye pattern prices k bottom me banne k baad trend reversal ka kaam karta hai, jiss se naya bullish trend banna shoro hota hai. Pattern k baad aik bullish candle ka banna ziada aham hai.

    How To Trade

    Tweezer bottom candlestick pattern par trading karne k leye market mein bearish trend ya low price k baad hi entry karne chahheye. Pattern for trading karne se pahle lazmi hamen pehle dono candles ka lower position dekhna chaheye k aya ye same point hai, k nahi hai, q k ye position hi prices k leye support level ka kirdar ada karta hai, pattern par entry se pehle kuch baton ka khas khayal rakhen;

    Click image for larger version

Name:	19.png
Views:	2
Size:	19.1 کلوبائٹ
ID:	12600499

    1. Candles Confirmation

    Tweezer bottom candlestick pattern do candles ka pattern hone ki waja se zarori hai, k aik confirmation candle pattern k baad lazmi bane. Confirmation candles se trwnd reversal ka andaza ho jata hai. Pattern k baad confirmation candle ka bullish real body me me banna chaheye, jab k bearish candle banne ki sorat me entry na karen.

    2. Indicators

    Tweezer bottom candlestick pattern k leye indicator ka istemal bhi karen, q k price action aur indicator ki madad se hum ziada accurate signal hasil kar sakte hen, jab k hamare losses k chances kam hote hen. Pattern k leye indicator par value lazmi oversold position par uss k nizdeek honi chaheye aur koshash karen k jitna lengthy timeframe ho sake select karen.

    3. Take Profit / Stop Loss

    Tweezer bottom candlestick pattern ka stop loss humen loss ki sorat me ziada loss se mehfozz banata hai, jiss k leye price chart ka sab se bottom position ya pattern k lower point se kuch pips below set karen. Take profit price action k mutabiq set karen, ya indicator k value k mutabiq fifty position se high rakhen.

اب آن لائن

Working...
X