Information about usage and implementation of Range Bound Strategy in forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information about usage and implementation of Range Bound Strategy in forex trading
    Range bound aik aisi trade strategy hoti hay jis main market aik range main bounce karti rehti hay, is bouncing main iska high aur low point almost same rehta hay, is main high price major resistance kay tor pay act karti hay aur low price main support ki tarha act karti hay, market in kay darmian main hi move karti rehti hay, is market ki type ko ham horizontal sideway ya ranging market kehtay hain. Market ko us kay choppy behaviour ki waja sy choppy market bhi kehty hain, laikin choppy market trending market k opposite hoti hay,

    Usage of range bound strategy for trading:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230318_0657_36_3822.jpg
Views:	1
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12598718

    Range bound strategy ko traders market ki sideways moments main use kartay huay profits hasil karnay ki koshish kartay hain magar yeh aik highly risky strategy hay aur is main aap ko aik certain range main bound ho kar kam karna parta hay, us range ka andaza ap is tarha laga patay hain kay sideways movement main jab market three to four times Resistance level aur Support level ko touch karti hai to aap un levels ko horizontal lines say join kar kay aik specific range select kartay hain jis kay andar reh kar aap boht si trades lagaty hain aur profit gain kar saktay hain, Range bound strategy ka maksad market ki last movements ka andaza lagana hota hay,


    Implementation of range bound strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230318_0657_36_3001.jpg
Views:	1
Size:	20.7 کلوبائٹ
ID:	12598719

    Is strategy main range ko measure karnay kay liay kisi indicator ka ya tool ka auto per use nahi kia jata balkay manually two horizontal lines draw karni hoti hain, jo market main honay wali last zig zag movements kay tops aur bottoms ko join karnay kay liay use ki jati hain, in lines kay draw karnay say hamain support aur resistance levels mark ho jati hay aur jab ham observe kartay hain hain kay market previous kuch periods say regularly isi tarah up down ho rahi hay to ham is movement say acha trading benefit lay saktay hain, matlab jab price in horizontal lines main move karti hui support ko hit ho kar wapis jay to ham support say kuch pips down stop loss aur upper resistance ko take profit set kar daitay hain aur buy ka order place kar daitay hain jab hamari trade resistance level tak pohnch kar take profit say hit ho jay to yahan ab hamain again is movement kay down anay ka wait karna hota hay

    Useful indicators to find over bought and over sold situation in range bound strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230318_0657_36_1540.jpg
Views:	1
Size:	19.6 کلوبائٹ
ID:	12598720

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230318_0657_36_4443.jpg
Views:	1
Size:	18.4 کلوبائٹ
ID:	12598721

    is strategy main market ki koi clear direction nhi hoti aur prices aik narrow range main up and down move karti hain, is main hum RSI, CCI aur stochastic oscillator ko use kartay hain, is main prices aik certain range main up aur down move karti hain aur yeh hamain over bought aur over sold conditions ko confirm kartay hain, range bound strategy ka basic idea yeh ho ga kay currency pairs ki high aur low price hoti hay lihaza is kay darmian trading ki jay, is strategy main apko trade main entry kay liay prices ko chase karnay ki bajay retracement ka wait karna chaiay,

اب آن لائن

Working...
X