Guidelines about blow off top situation in forex market and trade strategy based on i
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guidelines about blow off top situation in forex market and trade strategy based on i
    forex trading main kisi pair ki rapid ya sudden increase kay baad dobara usi tarah decrease honay ko blow off top pattern kehtay hain, isko hum mukhtalif charts main technical anaylisis kay liay indicator kay tor par use kar saktay hain ya is say market ki price ya trend ko predict kar saktay hain, yeh short terms ma possible hota hay aur takreeban aik din main hi prices top par pohnch kar down ho jati hain,

    Reason behind blow off situation:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1542_55_0460.jpg
Views:	1
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12598593

    Blow off top term us chart pattern main show hota hay jab kisi commodity ya pair ki price aur volume main steep aur rapid increase hota hay, blow off tamam pairs main ho sakta hay chahay woh commodities hon ya currencies, blow off ki yeh rally news par base karti ha jaisay hi koi big event hota ha to market ki moment par iska boht effect hota ha aur market higher prices par pohnch jati ha aur us news k settle honay par market dobara down ho jati hay laikin is main yeh nhi keh saktay kay market up janay main kitna time lay gi aur wapis anay main kitna time lay gi market ki is condition ko judge karna boht mushkil hota hay jab market top par jati hai to trader sell ki trade lagatay hain laikin market unko favour nhi karti aur yeh mazeed top par ponch jati hay, is kay foran baad pair ki ya commodity ki price main steep aur rapid drop daikhnay main ata hay, is change ko ham blow off top yeh blow off move kehtay hain, blow off top market main kisi bhi pair ya commodity main observe kia ja sakta hay,

    How to judge blow off condition in market:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1542_55_2131.jpg
Views:	1
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12598595

    forex trading main blow off top kay up point ko judge karna kafi difficult hota hay pehlay is situation ko confirm karna chaiay kay agr market wapas ana start ho gae hay aur phir is kay baad hi trade ma enter hona chaiay kiun kay market ko up janay main weeks bhi lag saktay hain aur market ko down anay main months bhi lag saktay hain is liay blow off top main jald bazi karna kisi sorat thek nahi hay kiun kay is say account wash honay main dair ni lagti aur trader ko aik hi baar soch samaj kar trade open karni chaiay is condition main small profit mil jay to bhot behtar hai big loss say blow off top aksar kisi bad news ki waja say market adopt karti hai ya tab karti hai jab market main koi bhot achi good news hit karay,

    Adoption of trading technique in blow off top condition:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1542_55_3042.jpg
Views:	1
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12598596

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1542_55_3963.jpg
Views:	1
Size:	17.6 کلوبائٹ
ID:	12598597

    Market main aisi situations hoti hay to is main apko boht carefully trade karni chaiay, Jab aap market main aisi news aur conditions ko focus kar rahe hotay hain To is main hamesha expected news ki basis per market ki movement boht fast hoti hai aisi situation main market main volatility boht hi ziada hoti hay, blow off top trader ko ye batata hay kay market ka volume or price high ho chuki hai or market fall karnay wali hay, jab market fall karti hai to market blow off top ko qualify kar daiti hay, again iska ye matlab har giz ni hai k market height point par ponch kar foran fall kar jae gi. Blow off top term ka rising part kai week tak ho sakta hay, kae bar ye blow off top ka rising day session main hi complete ho jata hay

اب آن لائن

Working...
X