Details of swap account and roll over fee paid in forex trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of swap account and roll over fee paid in forex trading
    Swap ya rollover fee us amount ko kehtay hain jo hamari trade aik say ziada din continue open rehnay kay baad spread kay ilawa aur izafi charge ki jati hay, yeh aik kisam ka izafi interest rate hota hay, hamari trade jitnay days long chalay gi swap main usi tarah izafa hota jay ga, different pairs kay liay swap rates mukhtalif hotay hain, long term traders kay liay yeh aik routine ki baat hoti hay, short term traders apni trade open kartay waqt is baat ko ensure kartay hain kay unki trade ziada long na jay,

    Usage of swap accounts:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1432_02_4432.jpg
Views:	1
Size:	14.0 کلوبائٹ
ID:	12598574

    Swap account kay aam tor par dosray charges jaisay spreads wagera kam hoti hay laikin us main trade pay charges lagu hotay hain, swap ka basic matlab yeh hay kay traders par ham interest pay kartay hain jab in trades ko run kiay huay 24 hours ka time guzar jay, jo trader market kay end honay par apni trades ko close kar daita hay usko swap pay nahi karna parta aur unko sirf spread hi pay karna hota hay, jis trader ki trade big loss ma ho to woh market kay close honay say pehlay trade ko close nahi karta to usko swap pay karna parta hay,

    Swap account and interest of traders:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1432_02_3501.jpg
Views:	1
Size:	21.9 کلوبائٹ
ID:	12598575

    Yeh aik kisam ka interest hota hay jo traders nay broker ko us surat main pay ya provide karna hota hay jab unki trades aik din say ziada continuly open rahain, is liay small capital walay traders ko long term trading say avoid karna chaiay aur koshish karain kay minimum swap walay pairs par trade karain ta kay is ka izafi bojh account par na paray, trade open karnay say pehlay different pairs kay swap rates say wakfiat honi chaiay kiun kay market ki moment ka kuch pata nhi chalta agr hamari trade phans jay ya loss main chali jay to us kay recover honay tak time lag sakta ha, jis k liay aik say ziada din trade open reh sakti hay jis ki swap fee lazmi provide ki jati hay jo trade khatam karnay par hamaray account say deduct kar li jati hay,

    Conclusions:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230317_1432_02_1650.jpg
Views:	1
Size:	14.9 کلوبائٹ
ID:	12598576

    Forex main trader account banatay waqat agr swap free kay option ko use kar lain to woh bina swap ki deduction kay account ko manage kar saktay hain, yeh hi waja hay kay instaforex aik acha broker hay, normally kuch days main agr trade chalti rahay to swap boht kam pay karna hota hay aur is account par itna farak nahi parta, laikin agr ziada days trades chalti rahain to swap ki amount boht ziada ho jati hay aur trader kay profit par iska boht farak parta hay,

اب آن لائن

Working...
X