Symmetrical triangle aik neutral chart pattern hay jo long term traders aur short term traders ko trade ki achi opportunity faraham karta hay, asal main up aur down candlesticks kay combinations say bantay hain yani jab horizontally lines inko milaya jay, ham two horizontal lines draw kartay hain aur inko equal slope kay sath draw kartay hain, jin main price moment kay baad jab yeh lines milti hain to aik triangle ban jata hay, is tarah yeh triangle in lines kay break points ka batatay hain,
Characteristics of symmetrical triangle:
yeh triangle market main indecision area ko indicate kartay hain jab buyers prices ko high push kar rahay hon laikin sellers ki taraf say bhi same resistance ka samna ho, jis ki waja say market aik kisam kay halt ya pause ka shikar ho jati hay kiun kay future direction confirm nhi ho rahi hoti, is tarah buyers aur sellers equally magar opposite react kar rahay hotay hain, symmetric triangle pattern main minimum two lower highs aur two higher lows hotay hain, isi tarah kai baar prices ki range narrow hoti jati ha aur jo higher lows aur lower high ki aik series banati jati hain,
Working and signal provision by symmetrical triangle pattern:
Is tarah kay pattern ki surat main traders market kay baray main news ka wait kar rahay hotay hain aur jaisay hi koi trend line break hoti hay to apni trade open kar laitay hain, symmetrical triangles boht effective trading day saktay hain, in main lower trend line say breakdown ki surat main market new bearish trend start karti hay aur upper trend line kay breakout ki surat main bullish trend start hota hay, is pattern ko hum wedge chart pattern bhi kehtay hain, is main stoploss point place karnay kay liay hamain breakout point kay low par koi position laini chaiay,
Resemblance with other patterns and trade strategy:
Symmetrical triangle kisi had tak pennant aur flag pattern kay similar hotay hain laikin pennant main converging trend lines ki bajay upward sloping trend lines hoti hain, traders in lines kay andar movement main bhi trading kartay hain matlab jab down wali line say price up jati hay to woh isko support consider kartay huay buy ki trade open kartay hain jab kay uper wali line say price wapis anay par traders is main sell kartay hain, isi tarah ager upper line say price break out ho jaye to trader further buy kartay hain aur agar price lower line ko break kar day to isko sell main trading kay liay use kia jata hay