Details and reasons of different types of gaps appear in forex market
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details and reasons of different types of gaps appear in forex market
    Forex main gapping us condition ko kehtay hain jab pairs ki prices baghair kisi activity kay previous day kay close say above ya below open hoti hain, gaps us time par occur kartay hain jab kisi pair ya commodity ki opening price aur closing price main difference create ho jay, ham in sab gaps par focus karain gay to har financial market main appear hotay hain, ziada tar gap low liquidity kay time par create hotay hain, is time par ziada enough buyer aur seller available nahi hotay jo is price kay drop down ya spike ko prevent kar sakain

    Reason behind gap appearence:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220108-103737_1.jpg
Views:	2
Size:	39.8 کلوبائٹ
ID:	12593957

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220108-063800_Opera Mini.jpg
Views:	3
Size:	91.6 کلوبائٹ
ID:	12593958

    Ziada tar gaps us time par nazar atay hain jab aik din market close hoti hay aur second day new price say open hoti hay, koi important event jaisay kay news aur company kay data kay releases market par impact create karti hain, jis ki waja say market main gap occur kar saktay hain, Gaps ko main waja market kay closing hours main kisi big news ya events hotay hain jo market ya pair ko effect kartay hain,

    Types of Gaps:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220108_0539041.jpg
Views:	2
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12593959

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220108_0539042.jpg
Views:	2
Size:	15.6 کلوبائٹ
ID:	12593960

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220108_0539043.jpg
Views:	3
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12593961

    forex trading main gaps ki mukhtalif types hoti hain, jo overall trend main kisi bhi jaga appear ho sakay hain in ki main types yeh hain,

    1. Common Gaps

    2. Breakaway Gaps

    3. Runaway Gaps

    4. Exhaustion Gaps

    Common Gaps:

    yeh boht common gap hotay hain jo market main occur kartay hain, Yeh frequently us time par occur kartay hain jab new trading day start hota hay, forex trading main yeh weekend pause kay baad appear hotay hain, yeh kisi trading session kay darmian main bhi occur kar saktay hain jahan par ziada buying aur selling pressure hota hay,

    Breakaway Gaps:


    is tarah kay gaps main prices significant resistance area say up ya support level say below move kar jati hain, yeh us waqt bhi appear hotay hain jab prices tight trading range main move karnay kay baad chart pattern say out move karti hain, breakaway gap aik strong trending move ko indicate kartay hain,


    Runaway gaps:


    Runaway gaps tab bantay hain jab market strong trend main move kar rahi hoti hay aur current trend ki direction main hi market further strong move zahir karti hay, yeh gaps typically large hotay hain aur price trends inko follow kartay hain, yeh gaps normaly trend kay darmian main bantay hain aur isko further speedup kartay hain

    Exhaustion gaps:

    Exhaustion gap us time par form hotay hain jab market main strong uptrend ya downtrend hota hay, secondly yeh underlying trend ki direction main develop hotay hain, yeh is baat ka signal daitay hain kay trend apna momentum loose karna start ho gia hay aur kuch time bad market main reversal occur karnay wala hay,

اب آن لائن

Working...
X