Guidelines about term congestion and trade process adopted during its occurence
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guidelines about term congestion and trade process adopted during its occurence
    Forex main congestion us state ko kehtay hain jis main buy karnay ki demand seller ki supply kay equal ho jati hai ya phir simply hum yeh keh saktay hain kay yeh demand aur supply match kar jati hain, jaisa kay hamain yeh to pata hai kay jab demand increase hoti hay to price upward move karti hain aur jab supply increase ho jati hay to prices fall kar jati hay laikin jab demand aur supply equal ho jati hay to aisay time par market main koi significant move develop ni hota,

    Occurence of congestion in forex market:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220110_0509360.jpg
Views:	3
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12593747

    Congestion market ki aisi situation ko kehtay hain jab pairs ko buy karnay ki demand sellers ki supply sa equal ho jati hay, jis kay result main prices significantly move nhi kartin aur price action consolidate ya congested ho jata hay, jab price stable hoti hay ya sideway movement main hoti hai to is time par congestion occur karti hay, kiun kay is time par buyer aur seller aik dosray ki requirement ko pura kar rahay hotay hain, isko sideways price moment bhi kehtay hain jo buyers aur sellers kay darmian balance ko show karti hay, is tarha market congestion phase say out ho jati hay ya yeh bhi kaha ja sakta hay kay price congestion state say breakout ho jati hay,

    Causes and understanding the term congestion:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220110_0509361.jpg
Views:	3
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12593748

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220110-101137_1.jpg
Views:	2
Size:	127.6 کلوبائٹ
ID:	12593749

    congestion us waqt zahir hoti hay jab prices stable ya sideways move kar rahi hon, aisi situation main buyers aur sellers ki strength equal ho jati hay, market main buyers aur sellers kay balanced honay ki waja say pairs ki prices main koi significant development nhi hoti jiski waja sa prices mostly stable rehti hain, congestion indecision period kay doran bhi appear hoti hay, major news ya events say pehlay bhi market main congestion daikhnay ko milti hay is situation main buyers aur sellers particular news aur events kay baad trade karnay ki koshish kartay hain, congestion us waqt finish hoti hay jab buyers ya sellers main say koi aik overpower ho jata hay aur prices us particular range main moment start kar daiti hain, congestion trading main aik supply aur demand ka factor hota hay jo pairs ki liquidity aur trading prices par influence karta hay,

    Trade procedure in congestion state:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220110_0509363.jpg
Views:	3
Size:	25.9 کلوبائٹ
ID:	12593750

    Trader kay liay yeh behtar hay kay woh market ki congestion state main trade karnay say dur rahain, mostly is period main sirf short term trades hi attempt ki ja sakti hain, kiun kay congestion kay doran price moment boht minimum hoti hay, congestion main trading opportunity ki bajay precautions karna parti hain, jab congestion ziada dair tak rehti hay to trading volume bhi drop ho jata hay, is state kay doran prices support aur resistance kay darmian hi move karti hain laikin jab prices kisi particular direction main break karti hain to buyers ya sellers main say aik dusray ko over power kar daita hay,

اب آن لائن

Working...
X