Details and identification of pull back and reversal patterns
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details and identification of pull back and reversal patterns
    INTRODUCTION

    Forex market ki moment main kabi reversal hotay hain to kabi continuation aur kabi pull backs market ki moment ko effect kar rahay hotay hain, pull back aur reversal main thora sa difference hota hay, laikin dono ka market par kafi impact parta hay, inki mazeed details yeh hain,


    Details about pull backs and its identification:

    Pull back hum small pause ko keh saktay hain, forex main market kai baar apni further moment continue karnay say pehlay thora pause karti hay aur us doran iski moment halt ho jati ha, ye longer term trends ma short term opposite moment hoti hay, pullback minor moment ko kehtay hain jo market carry karti hay aur is time per market trend ay hat kar ya opposite move karti hay jo trader trend trading kartay hain yeh unkay liay boht active hoti hay aur unko good reward dila sakti hay, yeh traders ko current trend join karnay ka moka daiti ha, laikin kai bar traders isko reversal samajh kar opposite directions main trade open kar laitay hain jis say unhain kafi loss ho jata ha, pull backs ko identify karnay kay liay kafi saray indicators available hotay hain jin main pivot point aur moving average wagera kafi important aur useful hotay hain, yeh traders ko reversal ya pull back ki complete guidance daitay hain, yeh indicator support level ko identify kartay hain agr prices is level ko break nahi kartin to yeh pull back consider hota hay aur break karnay par reversal samajha jata hay, pull backs kuch trading sessions tak bhi rehti hay,

    Click image for larger version

Name:	images (74).jpeg
Views:	4
Size:	26.0 کلوبائٹ
ID:	12592340

    Details of reversal and its identification:

    Reversal main market apna original trend change kar daiti hay, basicaly price moments kay turn around ko reversal kaha jata hay, bullish moment ka reversal falling price aur bearish moment ka reversal rising price say show hota hay, yeh price action main aik permanent moment hoti hay, traders reversals ko identify karnay kay liay different indicators, price action techniques aur chart patterns ka use kartay hain, in patterns main double top pattern, head and shoulder pattern aur double bottom pattern kay ilawa triple top and bottom pattern shamil hotay hain, uptrend main absolute high say reversal start hota hay aur downward price action show kartay huay extreme low tak ata hay aur tarah downtrend reversal is kay opposite hota hay, reversal new trend ki waja bhi bantay hain, yeh supply aur demands kay imbalance honay ki waja say hota hay,

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211231_1026500.jpg
Views:	3
Size:	15.7 کلوبائٹ
ID:	12592339

اب آن لائن

Working...
X