Bearish Harami Cross Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Harami Cross Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Cross Pattern


    Price chart par jab bhi aik bearish trend k dowran ya low prices main bearish real body main aik doji candle ban jaye, jo k prices k leye bullish trend reversal ka sabab ban jaye to ye pattern bullish harami cross pattern ban jata hai. Bullish harami cross pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle bantti hai, jab k baad main aik doji candle hoti hai, jo k bearish candle k k real body k mid main banti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jiss main open aur close aik jaise honne k sath sath high aur low bhi same hote hen. Bullish harami cross pattern prices k top par banne wale pattern bearish harami ka opposite hota hai, jo k prices k leye bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (14).png
Views:	13
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12590070

    Candles Formation


    Bullish harami cross pattern k naam se zahir hai, k iss pattern k baad prices mumkina tawar par bullish trend ikhteyar kar lengi. Ye pattern aik bearish ya low prices main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	C3.jpeg
Views:	2
Size:	37.0 کلوبائٹ
ID:	12590071

    1. First Candle: Bullish harami cross candlestick pattern main shamil pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka close price open se kam hoti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jo k black ya red color main hoti hai. Low prices main banne wali ye candle bearish trend ki akasi karti hai.

    2. Second Candle: Bullish harami cross candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai. Ye candle aik doji star candle hoti hai, jiss ka high aur low same length ka hota hai. Ye candle prices ko mazeed bearish janne se rokti hai, jo k bagher color ya kisi pattern ki hoti hai.

    Explaination

    Bullish harami cross candlestick pattern prices chart par bearish harami ya Homing pigeon pattern ki tarah dekhta hai, lekin dosri candle mukhtalif hoti hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss k prices ka open aur close din k ikhtetam par same point par hota hai. Ye candle aik star doji candle hoti hai, jiss main prices ka high uss k low k barabar hota hai. Yanni candle k open aur close point se upper aur lower sides ka shadow same length main hota hai. Ye pattern prices bullish trend reversal main tabdeel karta hai. Pattern ki doji candle bearish candle ki real body main ipen aur close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230204_092840.png
Views:	2
Size:	36.6 کلوبائٹ
ID:	12590069

    Trading

    Bullish harami cross candlestick pattern par trading karne se pehle iss ki price chart par position dekh len, jo k bearish trend ya low price area hona chaheye. Ye pattern market main buyers k leye strong buy signals genrate karta hai, lekin uss par entry karne k leye trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo aik strong bullish candle honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI aur stochastic oscillator se bhi madad li ja sakti hai, jo k over-sold zone main hona chaheye. Lekin pattern k baad bearish candle bann se ye pattern khatam tasawar hota hai, jab doji candle banne se agli bullish candle ka intezar karna chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower point par ya bearish candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230204_092225.png
Views:	2
Size:	133.8 کلوبائٹ
ID:	12590068

اب آن لائن

Working...
X