Discussion on uses and working stages of Gator Oscillator indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion on uses and working stages of Gator Oscillator indicator
    Gator Oscillator aik useful indicator hay jis ko "Bill William" nay introduce karaya, yeh aik technical indicator tool hay jo trending aur ranging market ki information daita hay, yeh market ki state kay baray main information daita hay kay market ab kis trend main hay ya market range bound hay, is ki help say ham apni trade ko important time par open aur close kar saktay hain, Gator indicator ko aik supplementary tool ki tarah design kia gia,

    Working features of Gator Oscillator:

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-24T010533.805.jpeg
Views:	4
Size:	51.9 کلوبائٹ
ID:	12589027

    Yeh oscillator alligator indicator kay supplementary tool kay tor par working karta hay, is indicator kay mutabik agar moving averages ko chart par plot kia jay to is kay jaw blue, teeth red aur lip green hotay hain, green bar rise ko show karti ha jab kay red bar fall ko indicate karti hay, is main blue alligator's jaw 13 period simple moving average hota hay jo 8 bar forward hota hay, red alligator's teeth 9 period simple moving average hota hay jo 5 bars forward hota ha, green alligators lip 5 period moving average ha jo 3 bars forward ho ga, yeh two bars say reading show karta hay, jin main top bar aur bottom bar hotay hain, top bar blue jaw aur red teeth line kay difference ko show karta hay, jab kay bottom bar red teeth aur green lip line ka difference hota hay,

    Stages of Gator oscillator:

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2021-12-24T003533.680.jpeg
Views:	10
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12589028

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211224_1944340.jpg
Views:	3
Size:	20.6 کلوبائٹ
ID:	12589029

    Gator oscillator four stages main apply kia jata hay, jin main say pehli stage main oscillator sleeping mode main hota hay jab naught line kay dono taraf red bars hoti hain, dusri stage main Gator indicator awakening mode main hota hay jab aik side bar red hi rehti hay aur second green ho jati hay, third stage eating phase hota hay jab naught line kay dono sides par green bars hoti hain, is main hamain two moving averages kay set kay darmian difference bhi milta hay, fourth stage main Gator sating mode main hota hay jab dono sides dobara red ho jati hain, yeh decelerating trend ko zahir karta hay aur upcoming trend reversal ko bhi predict karta hay,


    Effective trading techniques based on Gator Oscillator:

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2021-12-24T003540.563.jpeg
Views:	4
Size:	54.3 کلوبائٹ
ID:	12589031

    Traders is main apnay profits ko us waqt lock kar saktay hain aur apni positions say exit ho saktay hain jab Gator Oscillator sated position main ho, yeh oscillator alligator indicator ki three balance line ko converge aur diverge karta hay aur new trend ko identify karnay main help karta hay, trending market conditions main Gator oscillator boht effective samjha jata hay aur trade ki positions us waqt open hoti hain jab indicator awake hota hay, yeh market kay running trends ki progress bhi batata hay aur yeh bhi show karta hay kay woh kab end ko ponchay ga

اب آن لائن

Working...
X