Details of potential reversal in forex market shown by Parabolic SAR indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of potential reversal in forex market shown by Parabolic SAR indicator
    Parabolic SAR aik technical indicator hota hay jis ko J.Welles Wilder nay develop kia, yeh traders ko market kay trend kay baray main guidance daitay hain aur potential price reversal ka btatay hain, yeh aik trend following indicator hay jo price reversal ki indication karnay kay liay use kia jata hay, agar koi trader Parabolic SAR ko thek tarha say use karna janta hay to is say traders ko trend ki direction ka andaza hota hay aur yeh market main entry aur exit points kay liay bhi help karta hay,


    Important features of parabolic sar indicator:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211211_1540072.jpg
Views:	4
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12589023

    Parabolic SAR indicator charts par dots ki aik series kay sath appear ho rahay hain, yeh particular pairs ki prices kay above ya below appear hotay hain jo price ki direction ko janchtay hain, ye indicator suitable entry aur exit points select karnay kay liay trailing stop aur reverse method jisay "SAR" kehtay hain yani stop and reverse ko use karta hay, agr parabolic sar prices kay below show ho rahay hon to ye uptrend ki indication hoti hay aur jab yeh prices kay above show ho rahay hon to yeh downward trend ka signal hota hay jo bears ka control zahir karta hay, yeh dots flip ho kar potential change ko indicate kartay hain, jb pairs ki prices rise ya fall kar rahi hoti hain to un kay sath sath yeh dots bhi up aur down move kartay jatay hain,

    Usefulness of Parabolic SAR indicator:

    Click image for larger version

Name:	grade5-parabolic-SAR.png
Views:	37
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12589024

    Parabolic SAR indicator ka use karnay ka hamain yeh benefit hota hay kay hamain market main exact entry daita hay aur agar hum is main iskay sath sath kisi exponential moving average ya phir aik aur indicator ka istemal kartay hain to is say hamain aur cheez confirm ho jati hay aur ham asani say achi trade lay saktay hain, Jab hum is main parabolic indicator ka use kartay hain to us say hamain market kay trend ki bhi confirmation hoti hai aur ham market main stop loss aur take profit easily choose kar saktay hain agar ham iska use sahi tarah say kartay hain to hamain boht ziada faida ho sakta hay,

    Entry and exit in forex market using Parabolic SAR Indicator:

    Click image for larger version

Name:	1.SAR.png
Views:	6
Size:	209.2 کلوبائٹ
ID:	12589025

    Click image for larger version

Name:	maxresdefault (2).jpg
Views:	6
Size:	149.6 کلوبائٹ
ID:	12589026

    Parabolic indicator ko ap kisi bhi time frame main use kar saktay hain jitna long time frame hoga is main apko itna hi ziada profit ho sakta hay, Parabolic SAR indicator traders ko trade kay liay stop loss aur take profit place karnay ka method set karatay hain, jab pairs ki price increase kar rahi hon to stoploss ko dot wali position par set karna chaiay, isi tarah prices decrease karnay ki surat main bhi adjust karna chaiay, har price bar kay baad stop loss ko adjust kartay rehnay say hum apna profit secure kar saktay hain,

اب آن لائن

Working...
X