Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Railway Track Candlestick Pattern
Bearish railway track candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss main shamil dono candles opposite formate ya trend k hote hen. Ye pattern prices k top ya bullish trend main bearish aur bullish candles se mel kar banta hai, jo downtrend ki indications deta hai. Japanese candlestick pattern baar chart aur line charts pattern ki nisbat ziada aur accurate information deti hai. Ye candles price chart par mukhtalif pattern k bante hen, jiss se analyst apne analysis k mutabiq results hasil karte hen. Candlesticks pattern ko traders analysis main as a leading indicators k tawar par istemal karte hen, jo low ya high area se trend reversal ka sabab bante hen.
Candles Formation
Prices charts main shamil trend reversal pattern aksar candle ziada opposite direction main hote hen, jo k apne se pehle candle k asarat ko zayel karte hen, issi tarah se bearish railway track candlestick pattern bhi do opposite color k candles par mushtamil hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish railway track candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye long ya small body, shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k prices k uptrend ya low prices ka ishara deti hai.
2. Second Candle: Bearish railway track candlestick pattern ki dosri candle pehli candle k opposite yani bearish candle hoti hai, jo k pehli candle ki tarah kisi bhi formate main ho sakti hai. Dosri candle ka high price same pehli candle k high price se match hona lazmi hai, jo k candle ka shadow bhi ho sakta hai. Ye candle black ya red color main hoti hai.
Explanation
Bearish railway track candlestick pattern ki two days ka aik opposite candles wala bearish trend reversal pattern hai, jis main candles ka high same point ya price par hota hai. Pattern main shamil candles ki real body kisi khas pattern ya shap main hona zarori nahi hai, jo k long real body candle, small real body, long shadow ya bagher shadow ki bhi ho sakti hai. Ye candles same upper point par banne wale Matching low candlestick pattern ki tarah dekhta hai, jo same bearish trend reversal pattern hai lekin uss main shamil dosri candle bhi same bullish hoti hai. Bearish railway track pattern main candles prices ka double top pattern banati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Trading

Price chart par jab prices baar baar same price se baar baar reject ho jati hai, ye position support ya resistance level ban jata hai. Bearish railway track pattern main bhi candles same top point ko double time touch karti hai, jo k prices k leye aik strong resistance level ban jata hai. Pattern par trading se pehle pattern ka long timeframes main hona zarori hai. Jab k trend confirmation black candle ka real body main bhi banna chaheye. Pattern k confirmation k leye CCI indicator aur Stochastic oscillator ka istemal karna chaheye, jiss par value overbought zone main hona chaheye, jo k high prices ka indication hoga. Stop Loss pattern k sab se upper side ya dono candles k resistance level se two pips above set karen.