Successful trading techniques based on Mat Hold candlestick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Successful trading techniques based on Mat Hold candlestick pattern
    Mat Hold aik unique candlestick pattern hay, jo traders ko market ki situation kay baray main information daita hay, jab market main aisa pattern create ho jata hay to uskay baad market reverse direction main trend start nahi karti balky apnay previous trend ko follow kartay huay apni moment continue karti hay is liay hamain mat hold candlestick pattern bannay per previous trend ko follow kartay huay trade continue karni chaiay,

    Indication of Bullish continuation moment in mat hold candlestick pattern:

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-09T141651.785.png
Views:	5
Size:	29.0 کلوبائٹ
ID:	12588915

    Click image for larger version

Name:	images (1) - 2021-12-09T123608.672.png
Views:	4
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12588916

    Mat Hold bullish pattern traders ko market main ziada active honay ka sabab banta hay, is waja say traders kay liay market main buy ki entry ka moka hota hay, stocks aur commodities kay technical anaylisis main yeh pattern kafi use hota hay, jo stocks ya pairs ki previous trend direction ko continue karnay ka signal daita hay, agr pehlay wali moment bullish hay to yeh hamain bullish continuation ki prediction zahir karta hay aur agr pehli moment bearish hay to yeh bearish continuation ka batata hay, yeh pattern five candlesticks par mushtamil hota hay, pehli aur akhiri candlestick large hoti hay aur big real body ki hoti hay, darmian wali three candlestick small hoti hain aur first aur last candlesticks kay opposite trend main hoti hain, agr aik bhi candle is pattern ki formation kay mutabik na ho to ya pattern valid nahi rehta, is pattern ko ham mazeed two types main divide kartay hain,


    Bullish and Bearish Mat Hold candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	images (62).jpeg
Views:	6
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12588917

    Bullish mat hold pattern main first candlestick bullish aur large body ki hoti hay aur is kay bad wali three candlesticks small hoti hay aur bearish trend main hoti hain jab kay last candlestick phir say bullish aur large body ki hoti hay, jo middle wali three small candlestick hoti hay woh small hoti hay sari previous yani first candle kay below close hoti hay, is main jo last candle hoti hay woh pattern kay high point ko manage karnay main kamiab ho jati hay, bearish mat hold main pehli candle bearish hoti hay aur market ko down move karwanay main kamiabi ho jati hay, middle wali three candle bullish hoti hain jo market ko stable kar daiti hain aur yeh three candles pehli candle kay high point say up move kar jata hay laikin phir last candle bearish aur tall banti hay aur market ko aik bar phir down move karwanay main kamiab ho jati hay, first candlestick pattern main market over sold ho jati hay phir remaining three candles market ko stable aur correct karta hay aur last candle ko strength provide karti hay kay market phir mazeed down move kar jati hay,

    Techniques for trading after appearence of mat hold pattern:

    Click image for larger version

Name:	images (1) - 2021-12-09T123814.880.png
Views:	8
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12588918

    Mat Hold bearish pattern dikhnay main Falling Three Methods pattern jaisa lagta hai, laikin is main shamil 2nd white candle ki waja say yeh pattern mukhtalif ho jata hay, is pattern ko ham aisay samajh saktay hain kay market main pehlay bulls strong hotay hain aur seller ki koi involvement nhi hoti laikin middle wali three candle seller ko bhi involve kar daiti hain aur phir last candle main bulls aik bar phir say strength ko show karta hay aur market bullish move kar jati hay,

اب آن لائن

Working...
X