Aroon oscillator aik trend indicator hay, jo J.Welles Wilder kay Directional Movement Index kay similar ha, isko Tushar Chande nay develop kia tha, is kay zariay ap trend main changes ko aur assets ya us ki price changes ko asani say identify kar saktay hain aur percentage of changing kay hisab say ap next trend moment ka boht easily andaza laga saktay hain, yeh oscillator kisi bhi pair Kay chart me mojood support aur resistance kay darmian values ki prices ko boht calculative way main count karta hay aur is ki percentage values ko double envelops ki form main show karta hay,
Working process of Aroon Indicator:
![Click image for larger version
Name: Aroon.gif
Views: 13
Size: 28.0 کلوبائٹ
ID: 12588829](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12588829&d=1639315573)
![Click image for larger version
Name: images (16) (17).png
Views: 13
Size: 22.7 کلوبائٹ
ID: 12588830](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12588830&d=1604584493)
Yeh indicator hamain new trend kay start honay ki early information daita ha, is kay liay indicator ma two lines plot ki jati hain jo hamain trend ki strength kay baray main btati hain, is main moving average ki tarah sell aur buy ki indication hasil kar kay trade open karna hoti hay ya phir ham dusray indicators jo moving average based hotay hain un kay sath mila kar use karnay say hi acha indication hasil hoti hay aur ham is per trade open kar laitay hain jis say hamari trade main profit hasil honay kay chances increase ho jatay hain, aroon oscillator ki lines main say aik line ko Aroon Up aur dusri line ko Aroon Down kehtay hain, yeh 0 say 100 kay darmian oscillate karti hain, jab Aroon up ya Aroon down line 100 kay close hoti ha to ye strong up ya downtrend ka signal hota ha depending kay kon si line 100 kay near hay, isi tarah jab Aroon up ya Aroon down 0 kay kareeb hoti hain to yeh week up ya downtrend ki indication hoti hay jo is baat par depend karti hay kay knsi line zero kay kareeb hay
Calculation of Aroon up and Aroon down lines:
![Click image for larger version
Name: IMG_COM_20211213_0709132.jpg
Views: 2
Size: 17.6 کلوبائٹ
ID: 12588831](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12588831&d=1639361502)
Aroon oscillator main two line hoti hain is liay iski calculation main bhi two separate parts hotay hain, Aroon up ki calculation kay liay hum previous period ki amount kay time ko last high price kay sath relate kartay hain, isi tarah aroon down kay liay previous period kay time ko last price low kay sath relate kartay hain, dono kay result ko 100 say multiply kar kay percentage hasil kar li jati hay, in ka formula yeh hota hay,
Aroon up= {(n-period since n period high)/n} x 100
Aroon down = {(n-period since n period low)/n} x 100
Jab aroon oscillator zero line say above move kar jay to iska matlab hota hay kay aroon up aroon down ko above say cross kar raha hay, yeh trader ko signal provide karta hai k market ma uptrend start honay wala hay, jab oscillator zero say below move kar jay to is ka matlab hota hay kay aroon down aroon up ko below say cross kar raha hay,
Indications of strong and weak signals by Aroon Oscillator:
![Click image for larger version
Name: IMG_COM_20211213_0709130.jpg
Views: 3
Size: 29.6 کلوبائٹ
ID: 12588832](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12588832&d=1639361428)
Aroon indicator ko hum do tarah say use kartay hain aik signal levels kay liay extreme readings aur cross over kay tor par yani jab aroon up ya down main say koi bhi line 70 kay above jati hay to yeh line ki direction main strong trend ki indication daita ha, isi tarah jab aroon up ya down 30 say below move karti hain to yeh direction of line main weak signal hota hay aur jab line 50 par crossover karti hain to yeh momentum loose honay ki indication hoti hay, aroon indicator ko hum breakout systems kay liay bhi use kar saktay hain, lihaza jis trader ko aroon oscillator ko use karna ata hay woh easily market kay trend ko find karnay main kamiab ho jata hay,
Working process of Aroon Indicator:
Yeh indicator hamain new trend kay start honay ki early information daita ha, is kay liay indicator ma two lines plot ki jati hain jo hamain trend ki strength kay baray main btati hain, is main moving average ki tarah sell aur buy ki indication hasil kar kay trade open karna hoti hay ya phir ham dusray indicators jo moving average based hotay hain un kay sath mila kar use karnay say hi acha indication hasil hoti hay aur ham is per trade open kar laitay hain jis say hamari trade main profit hasil honay kay chances increase ho jatay hain, aroon oscillator ki lines main say aik line ko Aroon Up aur dusri line ko Aroon Down kehtay hain, yeh 0 say 100 kay darmian oscillate karti hain, jab Aroon up ya Aroon down line 100 kay close hoti ha to ye strong up ya downtrend ka signal hota ha depending kay kon si line 100 kay near hay, isi tarah jab Aroon up ya Aroon down 0 kay kareeb hoti hain to yeh week up ya downtrend ki indication hoti hay jo is baat par depend karti hay kay knsi line zero kay kareeb hay
Calculation of Aroon up and Aroon down lines:
Aroon oscillator main two line hoti hain is liay iski calculation main bhi two separate parts hotay hain, Aroon up ki calculation kay liay hum previous period ki amount kay time ko last high price kay sath relate kartay hain, isi tarah aroon down kay liay previous period kay time ko last price low kay sath relate kartay hain, dono kay result ko 100 say multiply kar kay percentage hasil kar li jati hay, in ka formula yeh hota hay,
Aroon up= {(n-period since n period high)/n} x 100
Aroon down = {(n-period since n period low)/n} x 100
Jab aroon oscillator zero line say above move kar jay to iska matlab hota hay kay aroon up aroon down ko above say cross kar raha hay, yeh trader ko signal provide karta hai k market ma uptrend start honay wala hay, jab oscillator zero say below move kar jay to is ka matlab hota hay kay aroon down aroon up ko below say cross kar raha hay,
Indications of strong and weak signals by Aroon Oscillator:
Aroon indicator ko hum do tarah say use kartay hain aik signal levels kay liay extreme readings aur cross over kay tor par yani jab aroon up ya down main say koi bhi line 70 kay above jati hay to yeh line ki direction main strong trend ki indication daita ha, isi tarah jab aroon up ya down 30 say below move karti hain to yeh direction of line main weak signal hota hay aur jab line 50 par crossover karti hain to yeh momentum loose honay ki indication hoti hay, aroon indicator ko hum breakout systems kay liay bhi use kar saktay hain, lihaza jis trader ko aroon oscillator ko use karna ata hay woh easily market kay trend ko find karnay main kamiab ho jata hay,
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим