Terminologies Explaination for Learning Process.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Terminologies Explaination for Learning Process.
    Assalamu Alaikum dear member jab aap forex trading market mein apni working karte Hain tu ismein aapko hamesha forex market mein complete learning krny ki zarorat hoti hai. Jab tak apki learning complete nahin hoti hai us time tak aap khabi bhi successful trade nahin kar sakhty hain. Main aapko forex trading market main istemal hony wali kuch Terminologies ko explain krny ki kosish krny ja raha hun.

    Bullish

    Market main jab prices increase ho rahi hoti hain or market main buyer's pressure hota hai tu us situation main hony wali movement ko aap Bullish term sa indicate krty hain.

    Bearish

    Market main jab prices decline ho rahi hoti hain or market main seller's pressure dekhny ko mil raha hota hai, tu us situation ko aap bearish term sa denote kr rhy hoty hain.

    Voltatality

    Voltatality term aapko market mein hony wali movement ki information da rahi hoti hai. Jab market ki movement zyda hoti hai tu iska matlab yah hota hai kay market ki volatility bahut jyada hai. Market ki volatility jyada hone ki vajah kuch factors ho sakhty hain.

    Slippage

    Jab market mein voltatality bhut zyda hoti hai tu eisi situation main aapko trade open krny or trade close krny main kuch problem hoty hain. Ap jis price per trade open or close krty hain wo same prices nahin milti es situation ko aap slippage ka name sa janty hain.

    Spike

    Sometime market main bahut zyda prices fluctuate ho jati hain or market main suddenly prices upward ya downwards movement kr jati hai es ki forex trading market mein spike kaha jata hai.

    Margin

    Jab aap market mein entry laty hain tu her currency pairs per use hiny wali amount different hoti hai. Jo amount aik trade open krny kay liye required hoti hai usko aap margin khety hain.

    Leverage

    Leverage facility basically Broker ki turf sa aik credit facility hoti hai. Is facility sa aap minimum account balance per bhi big lot istemal kar sakhty hain. Achy Broker aapko maximum leverage facility provide krty hain.

    Candlestick

    Market main Technical analysis ko complete krny kay liye candlestick ko achi tarah samjna bahut zarori hota hai. Candlestick ki individually study important hoti hai.

    Break Even Point

    Jab aap market mein trade without profit and loss point per close krty hain tu isko break even point khety hain.

    Take Profit

    Take profit aik eisi limit hoti hai jis main aik certain specific profit hasil karny per aapki trade automatically close ho jati hai.

    Stop loss

    Is term main aap trade ko kuch specific required loss main close krny ki information hasil krty hain.

    Trailing Stop Loss

    Stop loss ki value ko time to time Different points per shift krny kay process ko trailing Stop loss kaha jata hai.

    Pending Orders

    Yah aik eisi Techniques hoti hai jismein aap kay orders automatically excute ho rahy hoty hain. Pending Orders ko aap Buy Limit, Sell Limit, Buy Stop and sell Stop main classified krty hain.

    Lot Size

    Market main selling or buying krny kay liye units ki classification ki jati hai jski base per aap apni lot ko select krty hain. Lot size main Standard Lot, Mini Lot, Micro lot aur Nano lot hoty hain.
    Click image for larger version

Name:	forex-trading.jpg
Views:	2
Size:	195.0 کلوبائٹ
ID:	12588439

اب آن لائن

Working...
X