Details of Continuation and Reversal Breakouts and applying trade strategy based the
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Continuation and Reversal Breakouts and applying trade strategy based the
    forex trading main breakouts trading pairs ki supply aur demands main changing ko indicate kartay hain, yeh breakouts two types ki hoti hain agr hum in ko thek tarah samajh sakain kay ye knsi type ka breakout hay trading main achay benefits hasil kar saktay hain, kafi saray traders breakout strategy par trade kartay hain, inko breakout find karnay main boht problem hoti hay, expert trader breakout ko asani say predict kar laitay hain aur achay entry points hasil karnay main kamiab ho jatay hain
    breakouts ki two types hoti hain jo yeh hain,


    Continuation breakouts

    Reversal breakouts

    Details of Continuation breakout:

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211221-210222_Opera Mini.jpg
Views:	3
Size:	86.8 کلوبائٹ
ID:	12588262

    kai baar market jab aik hi direction main bari movement kar rahi hoti hay to kuch time kay liay yeh moment hold ho jati hay, jis kay result main hamain range bounded moment ya period of consolidation daikhnay ko milta ha, is situation ma buyers aur sellers predictions ka sahar lay rahay hotay hain aur jab maximum buyers market ki pehli wali position ya initial trend thek ha to woh prices ko same direction ma push kartay hain jis kay result main continuation break out hota hay aur market apnay initial trend ma movement continue kar parti hay, normaly market apnay trend main hi move karti rehti hay, jab yeh same direction main minor resistance ya support ko breakout karti hay to is ko ham continuation breakout kehtay hain, jaisay market agr up trend main hay aur woh minor resistance ko break karti hay ya market agr down trend main hay to woh minor support ko break karti hai to aisi movement ko ham continuation breakout kehtay hain

    Details of Reversal Breakouts:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211222_0745300.jpg
Views:	2
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12588263

    Jab market support ya resistance par ponch kar wapis moment start karti hay to is breakout ko ham reversal breakout kehtay hain, yeh bhi dakhnay main aya hay kay market major support ya major resistance say wapis aati hay, trader ko agr es point ko early predict kar lay to woh acha profit hasil karnay main hamesha kamiab ho jatay hain, Reversal breakouts main bhi market ki moment aik hi direction main hoti hay aur kuch time kay liay yeh moment halt ho jati hay yeh consolidation period hota hay laikin is main aur continuation breakout main yeh difference hay kay yahan traders yeh decide kartay hain kay initial trend ab exhausted ho chuka hay aur prices ko opposite ya reverse direction main push karna start kar daitay hain yeh reversal breakout hota hay,

اب آن لائن

Working...
X