Forex trading "Gap Up and Gap Down"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading "Gap Up and Gap Down"
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Gap Up and Gap Down

    Jab bhi kisi assets ki trading k dowran koi bara waqfa ya gap a jata hai to uss aksar price chart par up ya down side par aik bara gap ban jata hai, ye gap lazmi nahi hai k waqfa k dowran hi ho, kabhi kabhi ye prices par beroni environments ya fundamental impacts ki waja se bhi ya gap bante hen. Gap hamesha do tarah se hi hote hen, Gap up and Gap down. Lekin jab he gap prices k intehaye top ya bottom position par bante hen uss waqat ye bohut ziada asar dekhate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (1).png
Views:	7
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12586193

    Gap Down

    Jab bhi bullish trend k dowran ya high price area main down side par candle gap main banti hai aur uss k baad trend bearish main badal jata hai, to ye gap "Gap down" kehlata hai, jab k iss k bar akas jab bearish market main ya low prices area main up side par gap banta hai, jiss k baad qeematen bullish jana shoro karti hai, to ye bullish trend reversal hota hai, jab k iss gap ko "Gap Up" ka naam deya gaya hai. Forex trading k price chart pattern par gap up aur gap down ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (3).png
Views:	6
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12586194

    Gap Up

    Bullish gap up pattern do candles par mushtamil hota hai, aur pattern ki dono candles strong bullish candles hoti hai. Ye pattern bullish trend ya newly prices ka blish side par breakout k baad banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish hotti hai, jiss k baad banne wali bearish candle gap main above open ho kar high par close hoti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hotta hai, jiss main kisi bhi candle ki wick ya shadow nahi banta. Pattern main candles k darmeyan gap market main bullish pressure ki waja se hotta hai, jo aam tawar par kisi news ya events k release honne par banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (4).png
Views:	1
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12586195

    Explanation

    Bearish gap down pattern do candles par mushtamil hota hai, aur pattern ki dono candles strong bearish candles hoti hai. Ye pattern bearish trend ya newly prices ka bearish side par breakout k baad banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish hotti hai, jiss k baad banne wali bearish candle gap main below open ho kar low par close hoti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hotta hai, jiss main kisi bhi candle ki wick ya shadow nahi banta. Pattern main candles k darmeyan gap market main bearish pressure ki waja se hotta hai, jo aam tawar par kisi news ya events k release honne par banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (7).png
Views:	2
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12586197

    Trading

    Gap up and dow do qisam k signal deta hai, aik continuation signal jab k dosra aik trend reversal ka signal deta hai. Jab bhi gap up side par banta, aur ye newly bullish side breakout howa ya sideways prices main hon to ye bullish continuation ja signal hota hai, jab k bearish trend main upside par gap banne se bullish trend reversal pattern ka signal hota hai. Same agar ye signal dowside par hon aur newly breakout ya sideways prices main hon to uss sorat main ye bearish trend continuation ka signal detta hai, jab k bullish trend k baad banne par brearish trend reversal ka signal hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (6).png
Views:	1
Size:	11.1 کلوبائٹ
ID:	12586196

اب آن لائن

Working...
X