Guidance of applying Mass index Indicator and its usage in forex trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Guidance of applying Mass index Indicator and its usage in forex trading
    Mass Index Indicator market ki volatility ki study kay liay use kia jata hay, is indicator ko Donald Dorsey nay create kia, traders kisi pair ka mass index calculate karnay kay liay nine days periods exponential moving average ko use kartay hain aur phir iski average lay li jati hay, jab mass index aik certain point say above aur below move karta hay to is ka yeh matlab hota hay kay market ka trend change honay wala hay, Mass Index Indicator aik aisa tool ha jis ko traders market kay reversals ko detect karnay kay liay bhi use kartay hain,

    Main functions of Mass Index Indicator:
    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211225_0511000.jpg
Views:	3
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12586097

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211225-173649_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	150.2 کلوبائٹ
ID:	12586098

    Mass Index indicator certain period main pairs ki high aur low prices kay darmian difference ko janchta hay, jab indicator particular level say high move kar kay phir drop hota hay, to yeh is baat ki information hoti hay kay ab trend reversal honay wala hay, yeh indicator originally daily charts kay liay bana hay laikin traders isko kisi bhi time frame main bhi use kar saktay hain, jab mass index aik specific point say above ya below move karta hay aur is ka yeh matlab hota kay market kay trend change honay wala hay, kafi saray technical tools ki tarah yeh daily chart kay liay banaya gia hay laikin trader isko kisi bhi time frame main use kar saktay hain,

    Main steps in calculation of Mass Index Indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211225_0511002.jpg
Views:	3
Size:	17.6 کلوبائٹ
ID:	12586101

    Traders mass index calculate karnay kay liay normaly four steps use kartay hain, pehlay step main kisi bhi time ki low aur high prices kay difference ka nine day exponential moving average calculate kartay hain, second step main previous calculate kiay gay nine day moving average ka again moving average calculate kia jata hay, third step main first step say hasil honay walay EMA ko second step say hasil honay walay EMA say divide kartay hain aur fourth step main in hasil shuda values ko add kar laitay hain, last step main number of default periods 25 hotay hain lihaza is tarah ham 25 periods ki calculation ko summed up kar saktay hain laikin yeh setting trader ki desire kay mutabik change ki ja sakti hay,


    Usage of Mass Index Indicator:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211225_0511004.jpg
Views:	3
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12586103

    Mass index ka best use isko price action kay sath use karna hay, indicator market ki daily high aur low range ko measure karta ha aur market turn ko high accuracy kay sath predict karta hay, Mass Index boht unique oscillator hay kiun kay yeh market kay potential reversal ko show karta hay, market ki trading price or volume sy associated hoti hain, aik price chart par market kay turning points spot karna mushkil hota hay laikin is reversal indicator say hum top aur bottoms ko select kar saktay hain, jis ki base par hum trend kay bilkul beginning main participate kar saktay hain aur iski help say hum market ki bigger swing waves say bigger profit hasil kar saktay hain

اب آن لائن

Working...
X