3 Aham indicators in Forex trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    3 Aham indicators in Forex trading
    AsalamoalaikumIndicators Forex market kay tajziye k liye use kiye jatay hain, in ki madad sy hum Market k trend k bray ma jan saky hain or zaida tar raders indicators ki mdad sy hi trend ka andaza lagatay hoye trade krty hain bht sy indicators bht madad gar bhi hotay hian is liye in k baray ma janna bht zaroori hai trading ma.Indicators k zarye trading ko samjhnay ma asani hoti hai, indicators ka kam hota hai market ki mojooda surate hal ka tajziya karna ya ye keh sakty hain k kon si currency buy horahi hai or kon si currency sell, or market ma agay chul kar kia trend hoga is ka bhi anza kafi hud tk lagaya ja sakta hai is liye indicators bohat mdadgar sabit hotayhain.sb sy phlay jo indicators hain wo hain Moving average, phir hain bolingar bands and RSI.1. Bolingar bands Indicators Teen lines sy bnty hain or qeemato k utar or chrhao ki nishandahi krty hain beech wal line ye nishandahi karti ha market masawi ha na buy ha na sell jab k oper wali line buy ki nishandahi karti hai or red wali yani nichli wali line sell ki nishandahi karti hai yani market mandi ki trf jayegi.2. RSI ye bhi bohat mofeed indicator ha is ko traders kafi zaida istimal kartyhain is indicator ko Welles Wilder nay mutarif karaya tha is ka kam hota ha k kon si currency zaida bik chuki hai ya zaida khreedi gaye hai is ki nishandahi krna ha jesy jb RSI ki value 0 sy 100 ky darmiyan hoti ha or agar ye 30 sy neechy ajaye to ye ishara k ye currency zaida bechi gaye hai to traders buy krnay ki koshish karaingay or agar is ki qeemat 70 sy oper ho to is ka matlab ha ye zaida khreedi ja chuki hai to traders yahan sell kr sakta haiap is indicator ko mukhtalif time frame ma dekh sakty hain ye aik aham indicator hai jo ap ko trade krnay ma bht mdadgar hosakta hai.3. Moving average cross over, ye indicator kafi sada ha or utna hi aham bhi ha moving average k indicator ma trading indicate ka inhisar 2 indicators per hota hai.
    1 fast EMA matlab tez time ka intikhab kiya jaye to us ko Fast EMA khtyhain.
    2.Silow EMA jis ma sust time ky liye 14 din ka intikhab karaingay to silow EMA khlatay hain.
    ye trading ma moving average k cross over ki bunyad per sell/buy btata ha is ma cross 2 trh k bntay hain jab SMA yani zaida dino wali moving average ko FMA yani fast moving average neechy sy cross kray to buy ka signal hota ha jb SMA yani zaidino wali noving average ko FMA yani fast moving average oper sy cross kry to sell ka signal hogatmam traders apni trading k mutabiq dino ka tayun krty hain

اب آن لائن

Working...
X