Discussion about Alligator's indicator in forex trading....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion about Alligator's indicator in forex trading....
    Assalamu Alaikum dear Forex friends ummid Karti hun ki aap sab khairiyat se honge aur forex trading market mein kam Karke market Se achcha profit hasil kar rahi honge dear friends yah Ek bahut risky business hota hai ismein aapko bahut soch samajhkar apni decision making Karni hoti hai aur Market ke movement ke mutabik aapko chalna hota hai agar aap isase hatkar apni decision lete hain to aapko market Mein kabhi Bhi successful hone ka mauka Nahin milta isiliye aapko apna knowledge aur experience increase karna Hota Hai. Dear forex Friends hum apni aaj ki post mein baat karenge alligator indicator ke bare mein aur main ummid Karti Hun ki yah information aapko is topic ko samajhne Mein madad degi.

    What is Alligator indicator?

    Dear forex friends forex trading market mein alligator indicator ek bahut hi important indicator hai yah ek aisa indicator hai jo aapko multiple moving average ki base per Apne faisle karne ke liye bahut important information Deta hai jab aap market mein jyada se jyada advantage hasil karne ke liye different platforms ko find karte hain Alligator indicators three line par mushtamil hota ha or alligators indicators ka use market trend ko maloom karne or trend ki confirmation ka pata chalne ke liey use kia jata ha kyuke alligator indicator aik trending indicator ha jis ko use karke hum is bat ka pata chala sakte hain ke is wakt market ki direction kis taraf ha yeni ke alligators indicators ki help se asani se yeh pata maloom kiya ja sakta ha ke market is waqt sideway me ha ya trend me ha agr trend me ha tu is ki direction kis taraf ha ye nike up trend me ha ya down trend me or jub ap ko trend ki direction ka pata chal jata ha tu os waqt trade find karna easy ho jata hai.

    Developer of Alligator indicator:

    Dear forex friends Alligator indicators "Bill Williams" ne banaya tha alligator ka istemal current prices ke rojhanat aur unki basic Simt ko find out karne ke liye Kiya jata hai current situation ki alava professional traders different situations mein dakhil hone ke liye alligator indicator ka istemal karte Hain asal mein yah dekhne ki indicator line ka ek majma hai jo fractional geometry aur non linear dynamics ka istemal karte Hain ismein teen basic lines ke naam se jaane jaate Hain.

    Alligator teeth:

    Dear forex friends forex trading market mein Alligator indicator lines mein sabse important red color ki line hoti hai jo aapko elegator ke teeth show kar rahi hoti hai. Asal mein iski important information ki base per hi aapko trading Karni hoti hai aur ismein aapko different moving average ki base per entry lekar hi achcha profit mil sakta hai.

    Alligator Jaws:

    Dear forex friends Alligator indicator main aapko jo blue line milti hai usko alligator jaws kahty hain aur yah line aapko important information deti hai ki isko kaise market ki situation ko samajhte hue trading ki ja sakti hai.

    Alligator mouth:

    Dear friends jab aap alligator indicator ki lines ko study karte Hain to green colour ki jo line aapko najar aati hai usko alligator mouth ka naam Diya jata hai ya alligator lips kaha jata hai iski base per bhi aap market mein acchi entry Le sakte hain aur yah bhi aapko achcha profit hasil karne mein bahut jyada madad deti hai.

    Click image for larger version

Name:	MDE 5392 Alligator Indicator Article Image-01_12042021.jpg
Views:	4
Size:	78.2 کلوبائٹ
ID:	12585487

    Trading Strategy:

    Dear forex members forex trading market mein Alligator indicator convergnce or divergence relationship apply krta hai trading signal ko build krny mn. is ma jo indicator ki jaga par turn banti hai wo slow hoti hai or lip par banany wly turn fastest hoty hain.Ye trader ki help krta hai trend ko malom krny mn. Ye indicator impulse or corrective wave ki information bhi dta hai. But ye tool best work krta hai jb ye momentum indicator sy combine ho gata ha. Jb indicator ki 3no lines apas ma mix ho jti hai to cris cross bn jata ha aesa tb hota hai jb market ki condition choppy hoti hai. Is time par indicator sleeping state main hota hai aur jab indicator alligator sleeping straight Mein Hota Hai to use surat Mein iske disadvantages bahut jyada hote Hain.

    Click image for larger version

Name:	williams-alligator-strategy.jpg
Views:	2
Size:	248.8 کلوبائٹ
ID:	12585486

اب آن لائن

Working...
X