What is Concept of Lot Size and it's major Types?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Concept of Lot Size and it's major Types?
    Dear members Forex trading market mein lot size aik bahut hi important factor hota hai, jisko carefully study karna aapke liye zarori hota hai, kunk aap agar is factor ko properly study nahin krty Hain, tu definitely ismein aap Kay liye difficulties ho sakti hain, or aapki effective trading possible nahin hoti hai.

    What is Lot Size

    Lot size basically aik international standard Kay mutabik aik eisi quantity hoti hai, jiski basis per aap market mein entry laty huy is quantity ko select krty Hain, is ki basis per aapko per PIP movement per profit / loss ho sakhta hai.

    Types of Lot Sizes

    Forex trading market mein apko following mentioned lot sizes available ho sakte hain, Jin ko aap apni trading activities main include kar sakhty Hain.

    Standard Lot

    Standard lot basically 100,000 USD units per include hoti hai, jisko aap mathematically 1.0 sa show krty Hain. Iska matlab hota hai ap market main 100,000 units ki basis per Trading Kar rhy hain. No doubt Forex trading market mein ya sb sa zyda risky lot size hoti hai, is main aapko maximum advantages or losses hony Kay chances ho sakhty Hain. Is liye aapko hamesha standard lot size ki selection aik acchi entry or experience ki basis per krni hoti hai. Isko utilise krny Kay liye aapko pas definitely account balance bhi acha hona cheye.

    Mini Lot

    Dear members Forex trading market mein jab aap mini lot size ki selection karte Hain, tu ismein aapko 10,000 USD dollers Units ki basis per apni trading activities ko complete karna hota hai, or aap is lot size ko denote krny Kay liye 0.10 ki selection krty Hain. Maximum traders is lot size ki selection karte Hain, kunk is main risk as compared to standards lot bahut Kam hota hai.

    Micro Lot

    Micro lot size ki study karte Hain, to aap ko yah idea milta hai, Kay basically ya lot size 1000 USD units per mushtamil hoti hai. Or isko aap show krny Kay liye 0.01 sign use krty Hain. Ya bahut hi save trading krny main bahut zyda helpful hoti hai. Ismein aapko hamesha bahut hi minimum profit or nuksan ho raha hota hai.
    Click image for larger version

Name:	Lot Size.jpg
Views:	8
Size:	13.7 کلوبائٹ
ID:	12585314

اب آن لائن

Working...
X