Discussion and techniques to apply "Open High Low trade strategy".
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion and techniques to apply "Open High Low trade strategy".
    Open high low strategy aik popular day trading strategy consider ki jati hay, jis say us waqt signal generate hotay hain jab aik certain day main opening price ki value highest value kay same hoti hay aur usi time par jab kisi day main opening price ki value lowest value kay baraber hoti hay, Open High Low strategy kay kuch rules hotay hain yani yeh us time par buy ka signal daiti hay jab kisi pair ya commodity ki open au low price same hon aur is time par sell ka signal daiti hay jab kisi pair ya commodity ki opening aur high point same hon,

    Important features of Open High Low strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230128_0718_17_8580.jpg
Views:	1
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12584964

    jaisa kay yeh aik intraday strategy consider ki jati hay laikin is ko apply karnay say pehlay traders kay liay zaruri hay kay woh long term charts ko properly examine karain aur achay anaylisis kar kay is ko use karain aur in anaylisis ki base par buy ya sell ki trade open karain, is strategy kay mutabik market main us waqt buying ka option milta hay jab pairs ki prices ki open aur low values same hoti hain, isi tarah selling kay signals tab miltay hain jis waqt pairs ki prices kay open aur high points same hotay hain, yeh strategy traders ko acha entry point choose karnay ma help daiti ha, is strategy main risk reward ratio kafi high hota hay, is main traders ko opening 15 minutes kay low par apna stop loss karna chaiay, yeh strategy traders ko certain pairs main investment ka aik efficient option bhi daiti hay, traders ko kuch pairs ki aik list bana laini chaiay ta kay best chance walay pair say faida hasil kia ja sakay,


    Working of Open High Low strategy:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230128_0718_18_2023.jpg
Views:	1
Size:	12.6 کلوبائٹ
ID:	12584965

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230128_0718_18_1182.jpg
Views:	1
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12584966

    yeh strategy multiple ranges main useful hoti hay, yeh us waqt bhi effective hoti hay jab koi pair aik trading session say ziada tak open ho aisay sideways session kay liay ye breakout ko janchnay main help daiti hay, is kay ilawa traders is strategy ko intraday main first trading session main bhi effectively apply kar saktay hain, is case main unhain pairs kay low open point ko select karna hota ha, jis kay mutabik woh long ya short position select kar saktay hain, is strategy say traders pairs ki demand aur supply zones ki indication bhi hasil kar saktay hain, basically yeh strategy price action per kam karnay wali trading strategy hoti hay, is main hamain yeh observe karna hota hay kay kab market apnay higher point say open hui aur kab market apnay lower point say open ho rahi hay, is ka maksad short term trend reversal dikhana hay aur trader ko opposite direction main trading kay liay ready rakhna hay,

    Benefits of using Open High Low trade strategy:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230128_0718_17_9911.jpg
Views:	1
Size:	21.4 کلوبائٹ
ID:	12584967

    Normaly market kay open honay kay waqt trader ko faisla karna hota hai kay is particular session main open high low signal hasil ho raha hay ya nhi, agr market ki price open hoti hay aur iska high aur low point kay same hain to trader is direction main trade ko open kar saktay hain,Is strategy ka pehla benefit to yeh hay kay isko use karna kafi easy hay, new aur experienced traders is trading strategy say advantage hasil kar saktay hain, is technique kay liay complex analysis ki zarurat nhi hoti, jis ka matlab ye hay kay ap ka time market kay analysis main waste nhi ho ga aur ap har roz kuch minutes kay liiay market ko observe karain gay aur is kay baad apni trades ko manage karain gay,

اب آن لائن

Working...
X