Detailed Explanation of Re-bound and Mixed RSI.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detailed Explanation of Re-bound and Mixed RSI.
    Relative strength index ki three situations hoti hain, Over sold, over bought aur neutral, RSI Rebound aur mixed dono basically RSI ki extensions hain, RSI indicators say hum market kay trend ko find kartay hain jis main zero say lay kar 100 tak level hotay hain jab kay default level ko 30 aur 70 par set kia jata hay, agr market ka flow 70 ko cross karta hay to yeh over bought ko show kar raha hota hay,


    Explanation of rebound RSI:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230125_0725_46_3490.jpg
Views:	1
Size:	32.2 کلوبائٹ
ID:	12584585

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230125_0725_46_5251.jpg
Views:	1
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12584586

    Jab RSI oversold hoti hay to iski value kafi down chali jati hay same isi tarha jab RSI over bought hoti hay to uski value up chali jati hay, in two states say RSI ki value jab neutral ki taraf move karti hay to isko rebounding of RSI kehtay hain, ye phir isko aisay kaha jay ga kay RSI ki value low say ya high say jab normal state main ati hay to isko ham rebound kehtay hain, jab RSI oversold ya overbought hota hay to trader is kay wapis 70 level kay cross ka wait kertay hain incase of overbought to iska wapis 70 level say below neutral per ana ko Re-bound of RSI kehtay hain, isi tarah over sold kay case main jab market 30 kay level per wapis above neutral par aati hay to yeh bhi Re-bound of RSI kehlata hay,

    Explanation of Mixed RSI:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230125_0725_46_6122.jpg
Views:	1
Size:	32.9 کلوبائٹ
ID:	12584588

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230125_0725_46_7243.jpg
Views:	1
Size:	38.3 کلوبائٹ
ID:	12584589

    Forex main RSI hamain trading kay liay aik acha platform provide karti hay, profit hasil karnay kay liay laikin yeh 100 percent accurate nhi hota is ki value aik certain stage tak aa kar wapis bhi ja sakti hain, jab RSI kisi trend ko follow na kar rahi ho aur bar bar up down move kar rahi to isko mixed RSI kehtay hain, aisi surat main market ko judge karna bhot mushkil ho jata hay, lihaza is conditions main trader ko apni trades ko hold kar laina chaiay, kiun kay aksar market us taraf nhi jati jis taraf RSI show kar rahi hoti hai to jab RSI mix ho jay to market ko thek predict karnay kay chances kam ho jatay hain, volatile market situation main RSI signals main fluctuation hoti hain to iska signals main taizi say changing aati hay is condition man hamain trading nahi karni chahiay,

    Conclusions:

    Forex trading maim RSI indicator ko lagging indicator kehtay hain, yeh market ki past price ko use kartay huay market kay future level ko predict karnay main help karti hay, RSI hamain sirf market ki picture daiti hay agay hamain usko behtar tarikay say utilize karna hota hay, Trader ka experience acha ho ga to woh rsi say acha result produce karnay main kamyab ho jay ga, laikin agr ap sirf rsi par hi depend karain gay to phir profit hasil karna boht mushkil ho jata hay

اب آن لائن

Working...
X