Forex trading "Spread"
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading "Spread"
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Forex Market Spreads


    Forex trading market me aam tawar par jo spreads hota hai wo hi asal me brokers ki khalis khamaye hoti hai. Is waja se kisi position pe brokers spreads ko increase, decrease ya fix spreads rakhte hen. Agar koi brokers apne clients se jese deposits, withdrawal ya transactions charges nahi leta hai to wo apne clients k spreads se hi pese aosol karta hai.
    Forex Trading me spreads wo commission hota hai jo brokers hum se osool karta hai aur is ka andaza hamen mt4 account me maojood kisi bhi pair k "Buy" aur "Sell" k value k daryan jo difference hota hai us se lagta hai. Spreads aam tawar par brokers ko hi osool hota hai aur ye hi brokers ki asal khamaye hoti hai jo k hum ko forex trading market me mutaref karata hai.
    Spreads k zyada hone se hamen munafa kam melta hai aur is k kam hone se hamen munafa ya profit ziada hasil hota hai. Dosra spread ka ratio jo show ho raha hota hai wo 0.01 lot k hisab se hota hai, Agar aik pair ya commodities k value k darmeya spread 100 hai to is ka matlab hai k jab bhi hum 0.01 ki lot lagayengay to us se hamne minus one dollar ( - 1$ ) trade lagi gi. Yani hamara trade minus one dollar k nuqsan se shoro hoga. Aur agar ye spreads kisi pair ya commodities me sirf 10 ho to is ka matlab hai k jab bhi hum us pair ya commodities pe 0.01 ki lot lagayengy to trade - 0.10 se shoro hoga. Matlab kam spreads me faida melega.
    Chonkah spreads ka aam tawar pe faida brokers ko jata hai to wo bhi koshish karte hn k kuch pair pe ziada spreads rakhen aur kuch pe kam aur jo pair ya commodities ziada variables hote hn os pe wo koshash karte hn k ziada spreads rakhen is se broker ko ziada faida melta hai. Jese k gold pe brokers ziada spread rakhte hn. Hamen kam spreads pe ziada faida melta hai.
    Forex trading me hamare leye jitna spreads kam honagy to utna hi trader ko faida hota hai ziada spreads pe trader ko trading k aghaz pe hi ziada loss ka samna karna parta hai. Brokers ki tarf se spreads ki aam tawar pe do aksam de jati hai aik "fix spreads" hai aur dosra" variable spreads".

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	19.2 کلوبائٹ
ID:	12584351

    Fixed Spread


    Wese to fix spreads k naam se hi pata chal jata hai, Forex trading me fix spreads se morad wo spreads hen k is me kisi bhi kisam ki koi changes waqea nahi honagy. Halat chahay kesay bhi hon traders k leye spreads same hi rehte hen. Fix spreads me zero spreads bhi shamil hen lekin us pe commission lagta hai jo brokers trade open karne pe osool karta hai. Fix spreada ka faida short term tarders ko ziada hota hai. Q k un ko is se koi tabdeeli nahi hoti aur wo tension free ho k trading karte hen aur har qisam k halat me spreads same hone pe un pe koi extra pressure nahi parta hai. Scalping traders bhi tension free ho k fast trading kar sakte hen. Fix spreads ka aik back point ye hai k is me spreads wese hi high hota hai. Aur aam traders ko high spreads pe pehle hi pay karna hota hai.

    Click image for larger version

Name:	file.jpg
Views:	1
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12584350

    Variable Spread

    Forex trading me veriable spreads se murad, market ki movement se spreads me tabdeeli hona veriable spreads kehlata hai. Agar aam halat me market movement normal hai to ye spreads kam hote hen lekin market volatility k dowran ye spreads high ho jate hen. Is pe market ki up down ya fast movement bohut ziada asar andaz hoti hai. Veriables spreads ka faida ye hai k aam market movement me ye kam hote hen aur hamen us waqat ziada amdani ka faida mel sakta hai. Lekin is ka back point bhi ye hai k hamen fast market movement pe ye bhi sath volatile ho jata hai aur is ki pipes me bohut ziada difference a jata hai aur ye bohut high ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	file (1).jpg
Views:	1
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12584349

    Conclusion

    Spreads forex trading main aik aham ansar hai, ye hi brokers ki taraf se humen financial market main entry dene ka fees hai, jo asal brokers ki kamaye hoti hai. Fixed spreads main aksar apne clients se kuch extra fees bhi osool karte hen, jiss main kuch brokers zero spread bhi dete hen, lekin uss main brokers k extra charges lazmi hote hen. Fixed spread hamesha bare account par muyasar hota hai, q k ziada tar clients fixed spreads ko ziada pasand karte hen. Fixed spread k bar-aks variable spread main client k leye ziada faida iss waja se nahi hai, q k ye spreads high volitilety main ziada aur kam volitilety main kam hota hai, jiss se trading fast trading k dowran faida hasil nahi kar sakta hai. Lekin small account holder k leye pher bhi ye spread aik behter tool hai, forex market main entry karnw k leye.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	1
Size:	36.3 کلوبائٹ
ID:	12584348

اب آن لائن

Working...
X