Information about identification of "Blow off top" situation
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Information about identification of "Blow off top" situation
    forex trading main kisi pair ki sudden ya achanak increase kay baad dobara usi tarah decrease honay ko blow off top pattern kehtay hain, isko hum different charts main technical anaylisis kay liay indicator kay torr par use kar saktay hain ya is say market ki price ya trend ko predict kar saktay hain, Blow off top term us chart pattern main show hota hay jab kisi commodity ya pair ki price aur volume main rapid increase hota hay, is kay foran baad is pair ki ya commodity ki price ma steep drop dakhnay main ata hay, is change ko ham blow off top ya blow off move kehtay hain, blow off top market main kisi bhi pair ya commodity main observe kia ja sakta hay,

    Reason behind blow off top situation:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0902_15_1320.jpg
Views:	1
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12584247

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0902_15_4562.jpg
Views:	1
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12584248

    yeh short terms main possible hota hay aur takreeban aik din main hi prices top par pohnch kar down ho jati hain, blow off har tarah kay pairs main ho sakta hay chahay woh commodities hon ya currencies pairs, blow off ki yeh rally news par base karti hay jaisay hi koi big event hota hay to market ki moment par iska boht effect hota hay aur market higher prices par pohnch jati ha aur us news kay settle down honay par market dobara down ho jati hay laikin is main yeh nhi keh saktay kay market up janay main kitna time lay gi aur wapis anay main kitna time lay gi market ki is condition ko judge karna kafi difficult hota hay jab market top par jati hay to trader sell ki trade lagatay hain but market unko favour nhi karti aur ye mazeed top par ponch jati hai forex trading ma blow off top k up point ko judge karna boht mushkil hota hay pehlay is situation ko confirm karna chaiay kay market wapis ana start ho gae hay aur is kay baad hi trade main enter hona chaiay kiun kay market ko up jany ma weeks bhi lag saktay hain aur market ko down any main months bhi lag saktay hain, is liay blow off top ma jald bazi karna kisi surat thek ni hay,

    How to tackle blow off top condition:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230122_0902_15_3441.jpg
Views:	1
Size:	15.6 کلوبائٹ
ID:	12584249

    Blow off top trader kay liay trade karnay main aksar boht difficult ho jatay hain, kiun kay blow off top main koi time involve nhi hota aur trader ko pata ni chalta kay market kis time wapas aye gi, blow off top trader ko yeh batata hay kay market ka volume aur price high ho chuki hay aur market fall karnay wali hay, iab market fall karti hai to market blow off top ko qualify kar daiti hay, aur again iska yeh matlab yeh nahi hay kay market high point par ponch kar foran fall kar jay gi, blow off top term ka rising part kai week tak ho sakta hay aur kai bar yeh blow off top ka rising day session main hi complete ho jata hay aur kai baar yeh blow off top ka rising part kai weeks tak increase hota rehta hay laikin bow off top ka high point judge karna boht mushkil hota hay,

اب آن لائن

Working...
X