Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
Bearish meeting line candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend downward movement karna shoro karta hai. Ye two days ka aik bearish trend reversal hai, jo prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bears ka control zahir karta hai, jo bullish trend k baad wo bulls se hasil karte hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin bohut ziada high prices par aksar jab bhi prices ko bearish meeting line candlestick pattern ka samna karna parh jata hai, to uss k baad prices teezi k sath gerna shoro hoti hai, jo k aik bearish trend ki alamat hoti hai.
Candles Formation
Bearish meeting line pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k same close price par band hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali strong bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price par hoti hai. Bearish candle k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin candle lazmi real body main honi chaheye.
Explanation
Bearish meeting line candlestick pattern market main prices ko downward convert karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k top ya bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k same closing price k in-line hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover bhi karti hai aur sath hi bearish trend reversal ka kaam bhi karti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye. Pattern k dono candles ka opening price aik dosre k opposite direction main hota hai, jab closing price same point par hota hai.
Trading
Bearish meeting line candlestick pattern prices k top par traders k leye sell ka signal genrate jarta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bearish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k bottom par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern par sell ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise cci, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.