Detailed Discussion on "Martingale Strategy" its importance and advantages.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detailed Discussion on "Martingale Strategy" its importance and advantages.
    Dear friend, forex main use honay wali mukhtalif strategies main say aik "Martingale strategy" bhi hoti hay, isko aik french mathematician Paul Pierre Levy nay introduce kia, is kay mutabik agar hamain trade main loss ho to apni next trade ko double kar daina chaiay, yeh investing kay liay aik risky method consider kia jata hay kiun kay is ma already loss honay kay baad dobara trading margin ko increase karna aik boht risky decision hay, agr market hamari trade kay inverse chali jay to hamain big loss ho jata hay, is maun hamain investment ko increase karna hota hay chahay market main prices decrease ho rahi hon hamain un kay dobara increase honay ko mind main rakhna hota hay ka kay hum future main un increasing prices ka faida hasil kar sakain,

    Martingale strategy and its importance:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_1538_06_5700.jpg
Views:	1
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12581969

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_1538_06_8632.jpg
Views:	1
Size:	20.8 کلوبائٹ
ID:	12581970

    Martingale strategy ka yeh role hay kay ham is strategy kay through already loss ko bhi recover karain kab keh jo current trade main running loss ho isko bhi kam kar sakain, is liay traders maximum analysis karta hay aur aik or trading order place karta hay ta kay isko mazeed loss na ho is tarah woh small profits laity huay apnay loss ko boht km karta jata hay, is strategy ki kafi importance hay ayu khas tor par yeh loss ko deal karnay main help karti hay, trader jab loss ko recover karnay kay liay trade size ko double kar laitay hain to aisa karnay say trader ko agr kamiabi ho jay to woh apna loss recover karnay main kamiab ho jatay hain laikin trader agr yeh strategy use karnay ma market kay achy analysis hasil na karain gay to inka account bhi wash ho jata hay,

    Uses and advantages of Martingale strategy:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230118_1538_06_8632.jpg
Views:	1
Size:	20.8 کلوبائٹ
ID:	12581970

    Martingale strategy main market ki position main entry ki selection kafi important hoti hay aur isi tarah exit strategy bhi is main kafi matter karti hay, is strategy main trade ka size bhi matter karta hay lihaza trader ko martingale strategy ko use karnay main careful approach ko use karna chaiay, yeh strategy gambling ya betting main use ki jati hay jab hamain loss ho jay to apni bet ko double kar dia jata hay ta kay jo kuch pehlayy lost kia ho usay interest samait wapis hasil kar lia jay, jaisay aik trader koi perticular trade main 50$ invest karta hay aur us ko loss ho jata ha next trade kay liay woh 100$ ki investment karta hay aur tab tak investment barhata rehta hay jab tak apnay desired results na hasil kar la, is ma hm probability say kam laitay hain, is strategy main hum kuch transactions kay baad apnay account ko damage kar laitay hain kiun kay continuely trading amount double kartay jatay hain, is kay ilawa is main risk reward ratio itna reasonable nhi hota,

اب آن لائن

Working...
X