Risk management

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Risk management
    Assalam o Alikum Dears Forex Members Umeed hai ap sab loog khariyat sy hungy or enjoy kr rhy hungy apni training life ko
    management ki ehmiyat ko ignore ker dete hain ya jante hi nahi hain ke kahan se start karein, ye achi news hai kion ke
    trader chand tabdeeliyon or risk management ki samajh ke saath trader mumkina tor per apni trading or skill ko ache se improve ker sakte hain.Goal to Winrate Winrate ek ehem matric hai, lekin ye apne tor per sahin nahi hai, farz karein ke ek trader ka winrate 90% hai or uske
    losses hamesha winners ki nisbat 10 times ziada hote hain. Ye koi mamooli baat nahi hai jab trader apne winners ko boht jald cross ker jate hain or apne losses ko recover ker lete hain. Iske elawa agar aap ke pas winrate ziada hai to shayad aap harne wale traders se nipatne ke liye ache nahi hote kion ke wo boht kam hote hain, isi tarah jab loss hota hai to trader
    ghabra jate hain or loss recover kerne ki koshish kerte hain or jazbati mein aaker mehengi galtiyan kerte hai. Shayed aap jante hon ke 40%,50% ya is se kam winrate ke sath trading system se paise kama sakte hain.For example Jab aap ke winners aap ke loss ki rationTraders directly winrate ko control nahi kar sakte or ziada winrate ki intikhab nahi ker sakte,,,

    Risk Management rules
    Reward/Risk ratio ko determine kerne ke liye trade entry or stop loss ke dermiyan fasla leta hai or ise entry or take profit
    ke fasle ke sath mawazna kerta hai
    Jessa ke hum ne dekha hai ke reward/risk ratio or winners ki ratio ka aapas mein gehra taaluq hai. Achi news ye hai ke
    winrate ki ratio ko reward/risk ratio ki nisbat se ziada directly control kiya ja sakta hai.A larger Reward/Risk Ratio
    Ek trader Reward/Risk ratio ko barhane ke liye tight stop loss or wider target istemal ker sakta hai, iska ye matlab hoga
    ke profitable trade ke liye kam winrate ki zaroorat hogi, phir ye hoga ke price aasani se stop loss tak pohch jaye gi jab ke
    targe tak pohnchne mein kafi waqt hoga. Is tarah stop loss ko tight kerna or target ko wider kerne se kam winrate ki zaroorat
    hogi. Ye zaroori tor par bura nahi hai kion ke aap kam winrate se bhi earn ker sakte hain jab aapka reward/risk ratio chota
    na ho. 3:1 ke reward/risk ratio ke lihaaz se , for example trader ko sirf 25% se ziada ke winrate ki zaroorat hogi or ye haqiqat
    boht pasandida lagti hai

    Exemplation
    Dosto Or dusri taraf, ek wider stop loss or tight target ka intikhab kiya ja sakta hai, iska matlab ye ke reward/risk ratio kam
    ho jaye gi. Ab price ko target tak pohnchne mein aasani hogi or galti ki gunjaish barh jaye gi kion ke modify kerne ki
    zaroorat wider stop loss ke sath kam ho jayegi. Is se winrate pe majmooyi tor per izafa hoga. Aap dekhte hain ke small reward/risk ratio pehli nazar mein ziada attractive nahi lagta lekin ye itna bura bhi nahi hai ,,

    Holding Time
    Holding time directly reward/risk ratio se munsalik hota hai, kion ke target jitna wider hoga target tak pohnche ke liye
    price utni ziada lage gi. Ager aapke pas trading ka acha experience hai to aap jante honge ke trade win kerna itna aasan
    nahi hai, kion ke traders ko musalsal khof rehta hai ke price kisi bhi waqt change ho sakti hai or inke profit ko loss mein la
    sakti hai. Is liye ek wider target ka intikhab acha lagta hai lekin ye boht se masail ke sath aata hai. Is liye aapko target
    management ke faisle ehtiyat se kerne ki zaroorat hai ke aap jazbati tor per kese amal kerte hain

    Emotional tradr
    Dosto Jessa ke hum jante hain ke emotions or trading psychology tijarat ke ek bara hisa hai, Jab emotionally masail ki baat aati hai to winrate, reward/risk ratio or holding time ke ehem factors hain. Winrate is baat ka taeyan kerta hai ke aapko trading strategy se kitna positive or negative feedback milta hai.
    High reward ke sath kam winrate system:risk ratio ye hoti hai ke ek professional kis tarah trade kerta hai. Professonal trader emotional issues ke bagair trade ker sakte hain or is tarah high reward/risk ratio se bharpoor profit earn ker sakte hain, jab ek winning trade aapke pichle 5 se 7 losses ko cover ker leti hai or loss ka role tabdeel hoke reh jata hai. Ab loss itna khaternaak nahi hai kion ke aap jante hain ke inki recovery ke liye sirf ek winning trade hi kafi hai

اب آن لائن

Working...
X