Forex "Doji-Star Candlestick Pattern"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex "Doji-Star Candlestick Pattern"
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Doji-Star Candlestick


    Doji-Star candle aik small bagher real body main banni wali upper aur lower sides par shadows rakhne wali aik single candle pattern hai, jiss ko aam tawar par price chart pattern par aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main supply aur demand, khareed aur ferokht bullish aur bearish, resistance aur support taqat main barabari ki waja se banti hai. Candle ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, k aik makhsos ya muntakhib karda timeframe k dowran price chart par pehle investors prices ko aik side par le jane k baad same dosri side par bhi ussi tarah se push karti hai, lekin din k ikhtetam par prices apne aghaz wali position par a kar close hoti hai.



    Candles Formation


    Doji-Star candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mutehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;



    Doji-Star Candle: Doji-Star candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main candle k open aur close same point par hota hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

    Explanation

    Doji-Star candlestick main prices candle k centre ya darmeyan main aik line si real body banati hai, jiss k upper aur lower side par aik lamba saya ya shadow hota hai. Ye candle aam tawar aik neutral candle tasawar ki jati hai, jiss ko price chart par bohut ziada dekha jata hai. Ye candle prices k center main ya aik trend k dowran neutral value ki hoti hai, jab k prices k top ya bottom par banne par ye trend reversal ki hososeyat rakhti hai. Doji-Star candlestick ki hososeyat bhi long-legged doji candle, high wave candle aur doji star candle ki tarah hoti hai, jiss main market ki prices ziada tar same trend ko hi follow karti hai.



    Trading

    Doji-Star candlestick trading k leye ziada perfect signals iss waja se nahi de sakti hai, q k ye candles ziada tar neutral behaviour rakhti hai. Ziada tar ye candles price chart main bohut ziada nazar ati hai, lekin aam trend par ye bohut kam asar andaz hoti hai. Price chart k top par banne par ye candles thori bohut trend reversal k asarat ka hamil ho sakti hai. Candle par trading k leye zarori hai, k prices trend k intehaye top ya bottom main hona chaheye, jab k candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hota hai, jo k real body main lazmi hona chaheye. Jab k same trend ki candle banne par ye trend continuation ka role play karti hai. Stop Loss candle k sab se top ya bottom end se two pips above ya below set karen.

اب آن لائن

Working...
X