Details of trend chang in "Rounding Top candlestick pattern" and its major components

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of trend chang in "Rounding Top candlestick pattern" and its major components
    Dear friends, forex market mein "Rounding Top Pattern" us waqt banta hay jab market main trend change ho raha ho, yeh pattern price action main aik long term reversal ko indicate karta hay, trading main yeh pattern is baat ko show karta hay kay market ka trend khatam ho chuka hay, Yani market ab new trend main move karnay wali hay, Rounding top pattern ko ham saucer inverse pattern ki tarah show kartay hain,

    Appearence of Rounding Top candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230117_0638_23_9950.jpg
Views:	1
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12581753

    Rounding top aik reversal pattern hay, jo uptrend kay end honay ka signal daita hay, yeh new trend ko catch karnay kay liay use hota hay, price chart pattern par potential kay reversal ka signal daita hay, yeh inverted 'U' shape main appear hota hay ya "inverse saucer"ki tarah zahir hota hay, yeh pattern hamain batata hay kay ongoing uptrend khatam honay wala hay aur downtrend start honay wala hay, yeh pattern longer time frames main banta hay aur long time frame moments main hi reversal show karta hay,

    Major components of rounding top candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230117_0638_24_1571.jpg
Views:	1
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12581754

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230117_0638_24_2432.jpg
Views:	1
Size:	25.3 کلوبائٹ
ID:	12581755

    Rounding top pattern kay three main components hotay hain jin main say first rounding shape jis main prices high ki taraf move karti hain us kay baad ranging moves aur end main lower trend main move hoti hay, second component main inverted volume pattern hota hay jis main pattern ki dono sides par high volume aur middle main low volume hota hay, third component low support price level jo pattern ki base par nazar ata hay, is pattern main pairs ki prices new high tak increase hoti hain aur phir resistance level par steadily decrease ho kay top rounded banata hay, yeh double top aur triple top pattern kay bhi similar hota hay,

    Trading technique using information from rounding top pattern:

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20230117_0638_24_3173.jpg
Views:	1
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12581756

    Pattern main jab prices increase ho rahi hoti hain to volumes bhi high tak pohnch jati hain, is pattern ko understand karnay kay liay investors ko active rehna chaiay kiun kay prices ki support aik time par double top aur triple top ko bhi follow kar rahi hoti hain, trading main aksar aik aisi stage ati hay jab market aik resistance kay andar stuck ho jati hay aur trader ko pata chal jata hay kay yeh market ki last resistance hay aur market bar bar is say hit kar kay wapis aa jati hay, Trader ko is time par sell ki trade open kar laini chaiay, jo trader is time par sell ki trade open karta hay woh hamesha successful hota hay, is pattern main aik neck line hoti hay jab market woh neck line break kar laiti hai to iska yeh matlab hota hay kay market ab wapis nhi aye gi aur further sell main jay gi, pattern mein aik curved trend line banti hay jo kay up side ki taraf banti hay aur is main price aik new high say low main badal jati hay aur phir resistance say yeh reverse moment karti hai apna level change kar kay support ki janib jati hay aur trend bullish say bearish mein change ho jata hay, Forex trading main yeh entry long sell kay tor par use ki ja sakti hay,

اب آن لائن

Working...
X