Assalamu Alaikum Dosto!
Support and Resistance
Technical analysis market main stock ki musttaqil ki qeemmat ka tayyun karne k leye bohut sare tasawaraat ya concepts ka istemal karte hen. Jab bhi stock ki qeemat pehlle se tay shudda qeemat k points se takra jatti hai, to wo ruk jatti hai, aur pher mukhalif semmat main harkat karnne lagtti hai.
Support level: Ye wo satah hai jiss par stock ki qeemat mazzeed nechay nahi atti hai. Yahan se qeemat k bounce back ya bullish janne ka imkaan hai. Ye aik aisee satah hai jahan buyers ki demand sellers ki nisbbat bohut ziadda honne ki ummeed hai.
Resistance level: Ye satah support level ki opposite kaam karta hai, jisbmain qeemat aik khas upper had se mazzeed upper nahi jatti hai. Stock ki qeemat k is point par buyers ki jagah sellers se market main ziadda dilchaspi ki tawaqqa hotti hai.
Support Level Kia hai?
Candlesticks Pattern par support aur resistance levels ki nishan-dahi karnne se aap market main buy aur sell trades k leye apnna haddaf muqarrar kar sakte hen. Support price wo qeemat hotti hai, jiss par aap sellers ki nisbbat market main bayers ki ziadda dislchaspee dekh saktte hen. Support levels par trades ki market main stock k leye demand barh jatti hai, jiss se prices ki wapis morne ki tawaqqa hotti hai. Support levels par stocks ki qeematen gerr jatti hai, jiss se market main is ki demand main izzafa hotta hai.
Resistance level kia hai?
Candlesticks chart pattern par resistance wo satah hotti hai, jahan par buyers ki jaggah sellers market main ziadda mutaharek ho jatte hen. Ye market main qeemat ko mazzeed upper janne se roktti hai, aur us stock k leye ziadda se ziadda demand peda kartti hai, jiss se market main selling pressure par jatta hai. Resistance level se upper par ye selling indicator k tawar par kaam kartta hai. Resistance level support k opposite par prices k top area main trading kartti hai.
Breakout in levels
Support aur resistance levels trader ko market mein kisi stock ki qeemat ki up down harkat ka aik idea detta hai. Lekin ye zarrori nahi hai, k qeematen sirf inhen do levels ki darmeyyan hi upper nechay hongi, bulkeh ye levels breakout bhi ho saktti hai. Jab bhi aisa hotta hai, yanni support aur resistance levels breakout ho jatti hai, to aik nayye support aur resistance levels bantti hai.
Jab bhi support level breakout ho jatti hai, to qeematen uss waqqat tak downward harkat kar rahee hotti hai, jab tak wo aik naye support level na banna de. Isis tarah se jab bhi resistance level breakout hotti hai, to qeematen uss waqqat tak blish ya uptrend par chal rahee hotti hai, jab tak k wo aik nayye resistance level na banna de.
Reliability of Support & Resistance
Support aur resistance levels prices k leye buy aur sell k indicator ka kaam kartte hen, lekin app ko iss par mukamal inhissar nahi karnna chaheye. Dosree taraf wo sirf indicators hen, aur koi bhi indicator 100% reliable nahi hotta hai. Support aur resistance ko buy aur sell k leye istemal karnne se pehle market ki achi tarah se confirmation kar leyya karren.
Use in Technical Analysis for Trading
Forex trading market main aik trader k leyye stock ki aggli mumkina qeemat maloon karna technical analysis main sab se aham aur mushkil kaam hai. Financial markets main ye mumkinn nahi hai k har daffa hi humari high ya low prices k bare main analysis perfect hon. Is waja se support aur resistance ka concept qeemat k movement k barre main kaffi achih malomat faraham kartta hai. Support aur resistance k levels traders k leye trends ki nishan-dahi karnne aur trade entry main maddad kartti hai.
Aggar trader dekhtta hai k aik khas stock support level par a gayya hai, to wo market main buy ki entry kar saktta hai. Is ki waja ye hai k matlobba stock ki demand main izzafa mumkin ho saktta hai, jiss se us ki value main izzafa ho saktta hai. Isi tarah jaise jaise stock resistance level ki tarraf ki taraf barhta hai, to traders sell karne se faida hasil kar saktta hai.
Jab bhi stock ki qeematen support aur resistance levels tak pohunchi hai to us waqqat bohut ziadda muhtat rahen q k in levels par volitilety bohut ziadda ho jatti hai. Support aur resistance level traders ko trend ki nishan-dahi aur is se faida hasil karnne ka muqqa faraham kartta hai. Ye baat zehen nasheen karr len k stock aggar in levels tak pohunchti hai to is ka matlab ye nahi hai k wo lazzmi reversal jayegi, bulke ye breakout bhi ho saktti hai, is waja se analyst k tawar par aap ko sirf in levels par mukamal inhisar nahi karna chaheye.